tera ghar ab meri raah mein nahi hai

tera ghar ab meri raah mein nahi hai,
teri surat ab nigaah mein nahi hai,

bewafai karke aap yun dil tord gaye,
aawara hai dil ab panaah mein nahi hai,

kuch to reham kiya hota jawani pe,
katle ishq kya tere gunaah mein nahi hai?

daaman se baandhkar kahan rakh saka hai,
hawaon ka rukh nibaah mein nahi hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts