tufaan hazaaroan aate hain,
jo roand ke dil ko jaatae hain,
kiya zikr kabhi unka bhi hai,
jo lehron mein beh jaatae hain.
khismat mein yehi kuch hona tha,
hum dil ko yehi samjhaate hain.
hum unka bharosa kaise karein,
jo raahon mein bikk jaate hain.
chahatein hain hawaon mein sabki,
mehfil mein rang jagmagate hain.
mehman ki khaatir khoob karo,
kab phir woh dubaara aate hain.
jo auroan ko tardpaate hain,
woh apne muh ki khaate hain.
jo aate hain shaitaan ki tarh,
hum logon ko behkaate hain.
woh dekh ke apna hi chehra,
khud aap se hi sharmaate hain.
hum kerke bahaane laakh aye dost,
mann apna hi behlaate hain.
jo roand ke dil ko jaatae hain,
kiya zikr kabhi unka bhi hai,
jo lehron mein beh jaatae hain.
khismat mein yehi kuch hona tha,
hum dil ko yehi samjhaate hain.
hum unka bharosa kaise karein,
jo raahon mein bikk jaate hain.
chahatein hain hawaon mein sabki,
mehfil mein rang jagmagate hain.
mehman ki khaatir khoob karo,
kab phir woh dubaara aate hain.
jo auroan ko tardpaate hain,
woh apne muh ki khaate hain.
jo aate hain shaitaan ki tarh,
hum logon ko behkaate hain.
woh dekh ke apna hi chehra,
khud aap se hi sharmaate hain.
hum kerke bahaane laakh aye dost,
mann apna hi behlaate hain.
No comments:
Post a Comment