dum bhar hi khushi thi ab bas tanhai hai

aaj phir waqt se kisi ne maar khayi hai,
tabahi ke phool se mehfil ye sajayi hai,

ranj-o-gham ke daur kabhi gujre hi nahi,
dum bhar hi khushi thi, ab bas tanhai hai,

gunahgar tha main sila ye iss baat ka nahi,
jazbat mere toofan the, iski saza payi hai,

rah dikhe na koi zameen kabhi mila nahi,
mujhe yaad bhi woh kaise kahe, woh to harjayi hai,

meri julfen na hatana chehare se mere tum,
ashk bhari nazarein inhi se to chupayi hai,

hai shikayat khudse pachtawa karke bhi,
apne hi hathon se kabra apni khudwai hai,

na pucho humse haale dil sacche pyar ka,
hum toot chuke ab itni huyi jag-hassayi hai.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts