sapney kab apne hote hain

palkon ki sez par soye, aankhon ka paani hote hain,
zara aankh khuli ki, yeh beh jaate hain.

bekhud si zindagi mein, muskan le aate hain,
chand lamhon ki baat hai magar, phir saath jaate hain.

inki kadar kiye jaao to, nigahon mein reh jaate hain,
agle hi pal, aasma se zameen pe le aate hain.

jazbaaton ka dariya behta hai to, bekabu kar dete hain,
be-buniyad se rishton ko, kitne hi naam de dete hain.

jo sach na dekh payein khuli aankhon se, wahi sach roop badal kar,
band aankhon mein dikhayi dete hain.

aankhon ke pichche chupe hote hain,
sach hai sapney kitne laachaar hote hain.

aur kuch nahin bas, aankh ka paani hote hain,
zara si aankh khulte hi, beh jaate hain.

sach hai sapney kab apne hote hain,
sapney to bas sapney hote hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts