ek sacchi mohabbat ki dastaan

ek ladki ki dard bhari sacchi mohabbat ki dastaan.....

lo ek aur dard-e-dastan le kar aaya hoon main,
aap sab ko kisi ka dard-e-dil ba-ta-ta hoon main,

kaise kismat har bar ashiq ke khilaf ho jati hai,
kaise mohabbat mein ek dusre se milne ke liye rooh tardap jaati hai.

ek ladki thi duniya ke shor gul se pare khud mein khoyi huyi,
be matalab hi uski aankh lagti thi royi huyi,

waise to usse kisi baat ki koi kami nahi thi,
magar na jane kyo uske masoom chehre mein nami nhi thi,

jab se hosh sambhali woh khoyi si rahti thi,
magar apna yeh dard kisi se na kahti thi,

magar ek din uski mulakat kisi aise se huyi,
ke mano uske baad uski zindagi badal gayi,

unke hi mohalle mein ek naya pariwar rahne aaya tha,
mano ke kitne salo baad ladki se koi kuch kahne aaya tha,

us parivar mein ek ladka tha unka jo issi ki tarah udas tha,
subah sham apni dairy mein likhta rahta apne jazbaat tha,

ek din achanak dono ki ankhein mil gayi,
aisa laga ke mano unki zindagi mein khushi ki kali khil gayi,

dono ko lag raha tha jaise woh barso se ek dusre ko jante hain,

abhi mile nahi magar ek dusre ko apna khuda woh mante hain,

nazro ki mulakat se baat milne milane tak bardh gayi,
dono ke dil mein surat, ek dusre ki ghar thi kar gayi,

phir aise hi silsila mulakato ka hota raha,
na milne pe dono ka dil ek dusre ke liye rota raha,

waqt ek aisa aaya ke dono ka jeena, ek dusre ke bina mohal ho gya,
mohabbat mein jo haal sabka hota hai, usse bhi bura inka hal ho gya,

magar kismat ko inn dono ka milna manzoor nahi tha,
bakiyon ki tarah inka bhi marna duniya ke liye sahi tha.

baat ladki ke baap ko pata chali to woh gusse se laal hogya,
ladka unki jaat ka nahi yeh uska aur bhi bura haal hogya,

ladki ko samjhaya magar woh samjhi hi nahi,
ladke ke bina rahegi ek pal.. iss baat ko mani hi nahi,

uske baap ne bhi ladke ko dhokhe se bula kar,
samandar mein fikwa diya, uske tukde karwa kar,

ladki ko jab yeh maloom hua to ladki behal hogyi,
uski ankhein mano to gusse se laal hogyi,

dhire dhire gussa dimag pe aisa chhaya,
ke ladki ko ladke ke iss sadme ne pagal banaya,

ghar se nikal kar smandar kinare woh jaa baithi,
aayega murd ke mera sanam bas yahi thi rat-ti,

ladke ke ghum ne usko pagal bana diya,
sab ne ki koshish magar koi na usse samjha saka,

ladki aaj bhi ladke ki awaazein sunti hai,
woh aayega laut kar yeh sapne aaj bhi bunti hai,

akeli mayus si khud se woh baatein karti rahti hai,
zinda hai magar pal pal woh marti rahti hai,

kya mohabbat ka yeh hal hamesha hota rahega?
kya har pyar karne wala aise hi hamesa rota rahega?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts