na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain

na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi aaj mera saath hai,

ek ajeeb se kash-m-kash mein uljhe hain hum,
na koi hai mere paas na hum kisi ke saath hain,
na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi mera saath hai.

dil mein hain kayi baatein par zubaan deti saath nahi,
socha ki likh kar hi hum hale-e-dil bayan kar dein,
par kalam ko koi lafz bhi milta nahi,
na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi mera saath hai.

hai kaisi yeh bechaini aur na jaane kyu hai berukhi,
jab ki na hai dil mein ab koi na kisi ki aas hai,
na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi mera saath hai.

woh thi hawa ka jhoka koi, jo ehsaas unka kara gaya,
beetein lamho ke saaye se phir humko mila gaya,
na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi mera saath hai.

aks bhi jinka mita chuke the hum,
kyu ab bhi aati unhi ki yaad hai,
na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi mera saath hai.

beetein lamho mein hi kyu jeeti humari har saans hai,
tham jaaye ab ye silsila, dil yahi karta ab fariyaad hai,
na jaane kyu aaj badle huye se haalaat hain,
kalam bhi na nibha rahi mera saath hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts