kya tumhein yaad hai

woh guzre pal kya tumhein yaad hain?
woh humari mulakat kya tumhein yaad hai?

hum mile the jaise..
dubte huye suraj ki roshni badlo se hai milti,
jaise barish ki boonde is dhra se hai milti,
bago mein koi titli gulab ke phool se hai milti,
aisa tha humari mulakaat ka manzar,
kya tumhein yaad hai...

woh guzre pal kya tumhein yaad hain?
woh tumhara muskurana
muskurate hue mujhse baatein karna,
kya tumhein yaad hai...

bina kuch kahe mere sawaalon ka
jawab deti tumhari woh jhuki huye nazar,
aisa tha humari mulakat ka manzar,
kya tumhein yaad hai...

woh guzre pal kya tumhein yaad hai?
woh humara bichadna kya tumhein yaad hai
hum bicharde the jaise koi
ho pyaasa registhan mein,
jaise koi ho ghira tufaano mein,

tardapta raha mein tumari yaadon mein,
jaise chand amawasya ki raat mein,
kuch aisa tha humara bichrdna,
kya tumhein yaad hai...

mera woh jeete je mar jaana,
ashkon ki dharaon ka
katil lehron mein badal jaana,
kuch aisha tha woh manzar
kya tumhein yaad hai?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts