aaj har lamha sath guzara bahot yaad aa raha hai

woh barish ki bunde bhigoti thi jo humein,
aaj woh bunde bahot yaad aati hai,

woh sham ko bike mein mere piche baithna,
aaj woh bekarar shame bahot yaad aati hai,

woh tumhara ruth jana bin kuchh kahe,
aaj woh ruthi surat tumhari bahot yaad aati hai,

woh hathon mein hath dal din bhar rehna,
aaj woh chhuan tumhari bahot yaad aati hai,

woh adhero par mere tumhare adharon ka thaherna,
aaj woh paheli preet ki paheli kiss bahot yaad aati hai,

woh bahon mein meri sama kar tumhara kho jana,
aaj woh bahon ko tumhari bahot yaad aati hai,

woh tumahra aankhon mein ankhe dal dekhana,
aaj woh nazaron ko tumhari nazar bahot yaad aati hai,

woh kuchh na keh kar bhi bahot kuch sun lena hamara,
aaj woh sannatte ki buland awaz bahot yaad aati hai,

aur kya kahun jaanu

tum aur tumhari yaadein jeevan hai mera,
aaj har lamha sath guzara bahot yaad aa raha hai!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts