phirta hoon main zindagi ki talash mein

aaya tha dil ki gali mein, ek chehare ki talash mein,
jo dikha tha kabhi mujhe, us khwaab ki talash 
mein,

har dar band tha, band thi har khidki..
par main bardta raha, yun hi bas ek didaar ki aas 
mein.

ki maine minnate kayi ki.. kayi fariyade karta raha,
jaise ek sehra ka musafir pani ki pyas 
mein,

mila to mujhe bhi pyar, mile kayi saare wade bhi,
bas ab sochta hoon, rakh leta aankhon pe kash 
main.

mili thi har khushi, har woh khwaab jo dekha tha,
sapno mein thi jo kal tak, thi mere pas 
mein.

phir yeh kaise mord pe aaj aaya hoon,
ki aaj phirta hoon main, zindagi ki talash mein.

kyunki woh jo gayi hai, woh to dhoka tha nazron ka,
khatam zindagi kar, aankhein khol le raha hoon,
ab bas aakhiri sans main.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts