woh ehsas mohabbat ke na jane kahan kho gaye

woh ehsas mohabbat ke, na jane kahan kho gaye,
laut ke na aayi phir kabhi khushiyan, woh jazbey jo gaye.

woh jo niharaa karte the humein neend mein,
aaj wahi jhunjla jaate hain agar poocha kyun, so gaye?

letkar ek saath, banate the zindagi ki tasveer,
chhat pe putey they kuch khawab rangeen, shayad dho gaye.

kya kuch tha un dino mein, jo ab nahi reh gaya,
ho chala hai yakeen, ke ab hum, ek-duusre ke aadi ho gaye.

ab roz-marre ki zindagi bhi lagti pahaad si humein,
aur lage bhi kyu na? aakhir ek se ab hum jo ho do gaye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts