meri gazlon mein tera naam har baar aata hai

chaand ko dekhoon to tera chehra nazar aata hai,
ruth ke jaane wale tu mujhe aaj bhi yaad aata hai.

maana ki teri berukhi ne mujhe ab gair hi kar daala,
yahi bahot ki meri gazlon mein tera naam to aata hai.

jab dunaiya ke sab be-bason par kuch likhaa kisi ne,
tera naam un kitabon mein bhi mere baad hi aata hai.

tere ishq mein ruswa ho kar mehfil tak chhord diya,
kya karun jo aaj bhi mujhe tujh pe hi pyaar aata hai.

meri fariyaad bhi shaayed us rab tak na pahuch saka,
ashkon ka janaza baadlon se ab din-raat aata hai..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts