ab uska aur intezaar na kar

apne pyaar ki yun numaish na kar,
khuda se koi sifarish na kar,
sapne hote hi hain tutne ke liye,
unke sach hone ki umeed na kar.

apne ghumo ki yun numaish na kar,
apne nasib ki yun aazmaish na kar,
jo tera hai tere dar pe khud aayega,
roz usse paane ki khwaish na kar.

apne tannhai ki yun numaish na kar,
un yaadon so yun parda na kar,
jo beet gaya bhool ja usse,
ab chup chup kar, yun roya na kar.

apne zameer ki yun numaish na kar,
haddo ki dehliz yun paar na kar,
zindagi ko kaafi barbaad kiya tune,
ab uska aur intezaar na kar. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts