saada sa dil tha apna, saada dil ke armaan nikle,
saada aankhon mein, sehme se sapno ke arman nikle,
baithe hum biyaabaan-e-dil mein, tanhai ka ehsaas liye,
shayad dard-e-dil se ho kar koi be-aabhru nikle,
unke reham-o-karm se humne jab tab muh ki khayi hai,
humko jinse maat mili koi aur nahi raazdaan nikle,
kisi ka dil tute na humse, na humse koi chott aaye,
pee kar khuun-e-dil ko hum, kaat kar apni zabaan nikle,
taa-umr dil ke tukron ko chunkar, tutte ruuh ko behlaaya,
kya ranj ke yaas-o-gham mein deke zehar charah-jaan nikle.

No comments:
Post a Comment