chalo iss valentine par kuch aisa karte hain

chalo iss valentine par kuch aisa karte hain… 

pichle baras ke sookhe pholon ko,
apni chahton se taza karte hain,
aur phir aaj ke in phoolon se,
un mein ezaafa karte hain,

chalo iss valentine par kuch aisa karte hain…!! 

kuch pal ke liye hum ajnabi bante hain,
ek aam se sada kagaz par,
ek lafz “mohabbat” likhte hain,
aur phir iss lafz ke ehsas ko,
ek naye andaz se milte hain,

chalo iss valentine par kuch aisa karte hain… !!

apne sare gham apne sare dukh,
tum mujhe de dena,
meri sari khushiyan mere sare sukh,
tum rakh lena,
rab se kuch iss tarah ki dua karte hain, 

chalo iss valentine par kuch aisa karte hain… !!

1 comment:

  1. Sir,
    Yeh kavita achchi hai.
    Maine aaj bilkul same kavita suni.
    Yaani ke unhone hi aapki kavita gaayi hogi, lekin naam unka tha jaise ke unhone likhi hai

    Kya kahenge

    ReplyDelete

All Time's Favourite Posts