aye kash ki koyi inn kore kagazon pe likhi gazal padh pata

aye kash ki koyi inn kore kagazon pe likhi gazal padh pata,
koi humdum jo in aanshuo ka namak chakh sakta,

aye kash ki koyi sine pe hath rakh ke
dil ki zubaan samajh sakta,
ki koi humdum jo jism se milke rooh mein ghul jaata.

jiska intezaar ab tak karta aaya hoon main,
kayi samandar kayi sadiyaan rahi hai hamare beech.

aye kash ke tu samajh paati meri deewangi ka junun aur
aye kash koi aisa manzar bhi hota,

jahan main teri ruh ko bhi chu sakta,
aur hum do ruhon se ek ruh ho jaate.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts