aise hote hain pitah

jeevan mila jinse, woh jeevandaan hai pitah,
pukara jaaye chaahe kisi bhi bhasha mein
kehkar papa, baba, babuji...
har boli mein inke liye hai 
wahi pyaar aur samman bhara.

thaame jinki ungli bachpan challa,
jinki majboot kandhon par baithkar duniya dekhi,
godh par baith kiye nakhere dher jinke,
jinhone apne sneh se hamein bada kiya,
woh hai pitah!

choti se choti jeet par bhi jinse shabashi mili,
har haar ko jinhone sikh bataya,
nirash ko door bhagaya,
jeevan ki sachaai se hamein rubaru karaya,
sahi aur galat mein antar samjhaya,
jinhone apne bachoon ke sukh mein hi apna sukh paya,
bachoon ke liye har pareshani haskar uthaaya,
jinki puri sansaar unke bachoon mein hi samaya,
woh hain pitah!

kabhi kadak ho jaate to kabhi naram bade,
lagate hain pabandiyan to kabhi dete hain choot puri,
kabhi hansaate hain to kabhi rulaate hain,
kabhi maa ki daat-maar se bachaate hain,
to kabhi khud hi chapat laga dete hain,
aise hote hain pitah!

pyaar se thapki dekar sulaate hain,
to kabhi khana banakar apne haathon se bhi khilaate hain,
jarurat ho to maa ke bhi saare kartavya nibhate hain,
din raat mehnat kar apne bachoon ke bhavishya ko sawarte hain,
har din, har pal unke ujjwal bhavishwa ke hi sapne bunte jaate hain,
apne har saans ko pitah apne bachoon par lutaaate hain,
kabhi kathor hokar to kabhi mom ki bhaati pighal jaate hain pitah!

aapki bhumika kayi roop se hai...
dhoop gar jalaye to chaao ban jaate hain,
wahi samay aane par ussi dhoop mein tapkar jeena sikhate hain,
baatein jinki hamesa maargdarshan karti hai,
kathinayion se lardte huye, viparit paristhithi mein bhi,
apne sidhanton par chalna sikhate hain,
sath mein ho yaa yaad mein,
inki upastithi hamesa mann ko sukun pohuchati hai,
aise hote hain pitah!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts