zindagi teri tapis pe chalta raha hoon main

zindagi teri tapis pe chalta raha hoon main,
tere nukile teeron se lardta raha hoon main.

dost dost nahi to kya, apne apne nahi to kya,
saaya bhi mera saath nibhaaye nahi to kya,
insaaniyat ka dum hi bharta raha hoon main.

meri manzil ek diye si dikhaayi deti hai,
raat mein raushan sehar dikhaayi deti hai,
har imtehaan mein aag sa badhta raha hoon main.

mere dil tak pahunch kar woh mujhse ruuthe,
unko nahi pata ki mujh mein hain kya kya tuute,
dard ban sholon mein pighalta raha hoon main.

dariya nahi, pyasa dil ek katra chahata hai,
mujh mein bhi hai koi, jo jeena chaahta hai,
yeh kya ki ashkon kaa jashn karta raha hoon main.

uske sitam se na karna mehroom mujhe,
dekho har roz ek naya sadma dena tum mujhe,
har aas ladhkhadaayi, par nikharta raha hoon main.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts