meri zindagi ka yeh safar bhi ajeeb hai

dard ka zindagi pe asar bhi ajeeb hai,
dilon se khelne ka hunnar bhi ajeeb hai,

saaya ban jaati hain, chordti hi nahi,
saanson pe yaadon ka kahar bhi ajeeb hai,

naazuk hain deewaarein par girti nahi,
ummeed pe tikka mera ghar bhi ajeeb hai,

mehsoos kiye subah ko muddat si ho gayi,
andheron ka gulaam mera subah bhi ajeeb hai,

naa dil rakhte hain log naa hi seene mein wafa,
murdon ke beech meri basar bhi ajeeb hai,

aksar sochta hoon kya khata huyi mujhse,
mujhse khafa mera mukaddar bhi ajeeb hai,

naa raston ka ilm hai naa manzil ka pata,
meri zindagi ka yeh safar bhi ajeeb hai,

waqt ko aakhir kitni thokar maaroge raaj,
bardhti nahi kambakht.. yeh umar bhi ajeeb hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts