logon ki bheed saja kar tannha hoon aise

na jane kaise hum aa gaye tere ishq ki mehfil mein,
lahron se to bach nikle par dubb gaye hain sahil mein.

kaanton bhari raahein hi ho jis musafir ko pasand,
kya khaak lutf milega usse gulon ki manzil mein.

teri yaadon ke saaye, kuch pichle humshaaye,
bhagwan bhi bassa tha kabhi iss pathar dil mein.

logon ki bheed saja kar tannha hoon aise,
jaise chaand tannha hai taron ki mahfil mein.

mera aks bhi ab dikhta nahi teri aankhon mein,
dubb gaya hoon shayad inn ashqon ki jheel mein.

ab to har chehare mein nazar aati hai wo bewafa,
khudaya aa gaya hoon yeh kaisi mushkil mein.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts