kitna badal gaya insaan

kal jo gale milte the,
aaj gale kaat-te hain,
kal jo saath muskuraate the,
aaj aashoon baant-te hain,

dekho, waqt ki rachna kaisi,
har koi baante hai agyaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.


badlaw hai fitrat inki,
ghamand ke nashe mein choor sabhi,
chand kaagaz ke tukde jahaa,
soch ka dairaa rukta wahi,

kal tak jo darta tha bure kaamo se,
aaj buraai hai sabka imaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.

charno mein maa ke swarg hai.
sunaa, seekha tha kabhi maine aisa,
aao dekho roti huyi budhi aakho ko,
zamaana aaya hai ya khuda kaisa,
jinhone paal-posh kar barda kiya,
ban ke reh gaye ghar mein mehmaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.

naari ke hain roop kitne,
labso mein kaun inhein bayaan kare,
tha pal – pal poojniye inka,
ek jeevan mein tha saat janamo ka balidaan,

sare aam bikte hain laaj sharam ke gehne ab,
dekho kaisi khuli hai yeh dukaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.


hai aatank chaaro aur,
nadiya hai khoon ki,
din dahade-bazaar hai,
aaj bouchaar goliyon ki,

band karo yeh khel laaso ka ab to,
maang suni ho rahi hai kitni doliyon ki,
kal tak jo poojte the geeta aur kuraan,
aaj pujte hain haiwaan saitaan,
dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan....

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts