mere safar ka rasta yun badal gaya kaise

yeh hadsa mere saath ho gaya kaise,
mujhe meri kismat ne barbaad kar diya kaise?

kuch waqt tak to sab thik chal raha tha
mere safar ka rasta yun badal gaya kaise?

jahan tak nazar gayi tanhai nazar aayi,
ya khuda main ek pal mein yun tannha ho gaya kaise?

ek waqt tha jab har koi tha mere saath kashti mein sawar,
yakin nahi aata.. sabne mujhe samundar mein duba diya kaise?

kya kuch nahi sochha tha maine apni iss zindagi ke liye,
aankhon mein basa tha jo khawab pura hone ke liye,
woh bas ek khawab ho gaya kaise?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts