lagta hai ghut ghut ke jeena iss bar humko mila hai

ek tardap ek ahsas ek dard ka sila hai,
ki ghum ka har fasana to tohfe mein mila hai,

hum to samajhte the hum hi hain dard ke maare is jahan mein,
par yahan to dard ke maaron ka kafila hai.

ki khawaisein na jaane kaha goom ho gayi  bheed mein,
phir bhi zamane se na humko koi gila hai,

ki hum to chahte hain ke gulsan ho jaye yeh duniya saari,
ek phool bhi na khushiyon ka mere gulshan mein khila hai,

muddaton se mil rahe haiz zakhm bus tannhi mein,
ki waqt ne hi yaar dil ka zakhm har sila hai.

ek tardap ek ahsaas ek dard ka sila hai,
roke hain sailaab kitne palko ke kinaro pe,

har ghardi in aashkon ka waar humko mila hai,
jism bus ek laas hai, yahan kab mile phursat mujhe,

lagta hai ghut ghut ke jeena iss bar humko mila hai,
ek tadap ek ahsaas ek dard ka sila hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts