kassh ki main tujhko dil se bhula deta

kash main khuda ya khuda ki jagah hota
to dard-aur-taklif ko sare jahan se mita deta.

gujra hua zamana muhje kya sazaa deta,
kassh..! ki main tujhko dil se bhula deta.

yeh main tha jo chupaya dil mein har ek baat,
koi aur gar hota to tamasha banaa deta.

bewafao ki list mein tu hoti sharamsar
main chahata to har raaz se parda hata deta.

socha kisi ko ruswa karna theek nahi
warna tere rutwe ko khak mein mila deta .

baitha tha jo lagake sharafat ki numaish
chahta to uske har gunah ko gina deta.

maine hi kadam rok liye bardhte us taraf
gar chahata to khoon ki nadiyaan baha deta.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts