kyun sunta nahi tu bhi aaj kal,
khudaya tujhe bhi meri fikar naa rahi.
tere iss matlab parast jahan mein,
yaaron ko bhi meri kadar naa rahi.
mere gharonde ko jisne naa kuchla,
sagar ki aisi koi lahar naa rahi.
pyaase ko to katra bhi tha bahut,
teri mujhpe gawara yeh mehar naa rahi.
sham ke sang kismat bhi chamakti,
meri zindagi ki aisi koi sham naa rahi.
woh bhi naa laut ke aayenge kabhi,
shayad apni hi duaon mein asar naa rahi…
khudaya tujhe bhi meri fikar naa rahi.
tere iss matlab parast jahan mein,
yaaron ko bhi meri kadar naa rahi.
mere gharonde ko jisne naa kuchla,
sagar ki aisi koi lahar naa rahi.
pyaase ko to katra bhi tha bahut,
teri mujhpe gawara yeh mehar naa rahi.
sham ke sang kismat bhi chamakti,
meri zindagi ki aisi koi sham naa rahi.
woh bhi naa laut ke aayenge kabhi,
shayad apni hi duaon mein asar naa rahi…
No comments:
Post a Comment