kabhi meri zindagi mein tera naam tha

kabhi dil mein teri yaad thi,
inn aankhon mein teri tasweer thi,
meri zindagi tere naam thi,
aur saansein teri jaagir thi.

kabhi kadam uth-te the teri rahoon ki taraf,
aur sajde the sirf tere hi dar ke liye,
har khuli aankh ke khwaabon mein basa karti thi tu,
teri yaadein hua karti thi mere basar ke liye.

phir kyon tune mujhe sile diye bewafai ke,
pairon tale raund dali meri yeh duniya,
jala ke dil ko mere raakh bhi rahne na di baaki,
koi baki nahi rahne diye jahan mein mera nishan.

ab to bas ek lakeer dhuwan hai,
koi siskiyan leti huyi chingari,
tanhaiyon ke nazar ho gayi rooh meri,
har taraf aag hai, bebasi aur khamosi.

jalte huwe jahan mein laut aaunga,
waapis yahan jhuthla ke maut aaunga,
teri rangeen raaton mein banke kali ghata,
mausam-e-ishk pe lahu barsaaunga.

yeh mera waada hai dil tordne wale,
jab kahi mehfil mein tera naam aayega,
bewafai ko teri log yaad rakhein ki,
ishk mera, mera diwanapan kaiyon ko yaad aayega.

hazaaron saal tak iss deewane ki aah barpegi,
aashik bhi mere naam ki kasam khayenge,
mohabbat is jahan mein hain kayi karne wale,
par mere kisse geeton mein sunaye jaayenge

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts