har sehar main apne kaatil ko dhundta raha

ruk ruk ke main hamesha chalta raha,
har sehar mein apne kaatil ko dhundta raha,

huyi hai jab se nazron se ojhal woh,
jaise har khusi ko main tarashta raha,

nahi raha jeewan mein kuch ek uske siwa
jis naam ke sahare main humesha chalta raha,

na jaane kis bheed mein kho gayi woh,
nazron mein jiske pyar hamesha main dekhta raha,

kabhi manjoor na the ashk meri ankho mein,
zalim na jaane mujhe tanha chord kanha kho gayi,

sayad ibbadat mein us khuda ki koi kami thi,
jo umar bhar ka gum mere sine mein dafan ker gaya,

har sehar main apne kaatil ko dhundta raha,
ruk ruk ke main hamesha chalta raha

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts