har chhot pe maine unhi ko pukara hai,
meri maa hi bas ab to mere jeene ka sahara hai,
kaha khud ne par auro ko kabhi kehne na diya,
har bhool ko tune barde pyar se sudhara hai,
aaj jo kuch hoon unhi ki mehnat ka phal hoon,
apna jeewan maine apni maa par waara hai,
meri tanhaiya unhi ke wajud se hai roshan,
ha maa tune hi ess ziddi lardke ko sawara hai,
ek teri hasti jo nahi.. to main kuch bhi nahi,
jiske paas tu nahi woh jeeti bazi haara hai,
kabhi main jhagdu tujh se, kabhi pyar karoon,
es duniya mein apna rishta sabse pyara hai,
maana ho laga hai kafi barda ab tera raaj,
par guzarna teri hi gaud mein yeh jeevan saara hai.

No comments:
Post a Comment