apne hi dil se har roz bagawat hazar karte hain

ya khuda gar yeh dushmani hai to kya khoob hai,
hum jo logon se unke shikve, unhi ki shikayat karte hain.

jab unse mil pana mukaddar naa hua to,
har pal rab se tamanna hazar karte hain.

ek wo jo katal kar ke hamara khush hote hain,
ek hum jo unki ek khushi pe bhi har roz marte hain.

wo sange- pathar jisne torda iss aaiyna -e-dil ko,
phir bhi naa kiye gile kyonki hum to unhi se mohabbat karte hain.

dil jisse chahe, jahaan usse hi bhulana chahe,
apne hi dil se har roz bagawat hazar karte hain.

ab kis khuda se hum tujhe maangein jaan,
ki hum to bas teri hi khawab-o-khayaal karte hain.

main unse shikve bhi karoon to kaise karoon,
ki woh vaade-wafa bhi khawabon mein aakar karte hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts