sharam se woh palkein jhukaane lage hain,
zubaan se bahut lardkhadaane lage hain,
mohabbat na kejiye, humein kah ke zaalim,
dabbe honth phir muskuraane lage hain,
mere dekhne se, jhijhak uff khudaaya,
dupatte se muh ko chhupane lage hain,
suna hai woh aaye hain wapis shehar ko,
sitaaron se ghar hum sajaane lage hain,
woh auro se to puchaa kare haal dil ka,
mile hain to aankhein churaane lage hain,
khamoshi pe unke, na ghum raaj kar tu,
woh apna samajh aazmane lage hain.
zubaan se bahut lardkhadaane lage hain,
mohabbat na kejiye, humein kah ke zaalim,
dabbe honth phir muskuraane lage hain,
mere dekhne se, jhijhak uff khudaaya,
dupatte se muh ko chhupane lage hain,
suna hai woh aaye hain wapis shehar ko,
sitaaron se ghar hum sajaane lage hain,
woh auro se to puchaa kare haal dil ka,
mile hain to aankhein churaane lage hain,
khamoshi pe unke, na ghum raaj kar tu,
woh apna samajh aazmane lage hain.
No comments:
Post a Comment