na milti hai mujhe maut na milti hai khusi

aisa bhi ek din tha jab tu mere kareeb thi,
hum rehte the saath, karte the dher sari baatein,

main kitna kushnaseeb tha, na thi chinta na thi gum,
na thi yeh tanhai na thi ye chubhta hua gum,

aaj main us mord pe aa gaya hoon,
jahan se har taraf har mord pe tu hi tu dikhai deti hai,

teri khil-khilahat, woh hassi sunai deti hai,
lagta hai tu door khadi hai apni baahein failaye
aur mujhe bula rahi hai,

main bardhta hoon to tu gayab ho jaati hai,
bata tu kyun mujhe itna tardpaati hai?

main chaah kar bhi tannha ho nahi pata,
tera wajood se judaa ho nahi pata,

kehti hai tu mujhse,
tu kyun hai udaas, tu kyun hai dukhi,
bhul ja mujhe aur reh sukhi,

na chahon main tanha-pan, na baatein na hassin,
par main bhi hoon majboor apni chahat se,
na milti hai mujhe maut na milti hai khusi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts