ek pal mein ek sadi ka mazaa humse puchiye,
do din ki zindagi ka mazaa humse puchiye,
bhule hain unhein rafta rafta mudatton mein hum,
kishton mein khudkushi ka mazaa humse puchiye,
aagaaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye,
anjaam-e-aashiqi ka mazaa humse puchiye,
jalte diyon mein jalte gharon jaise aanch kahaan,
sarkar roshni ka mazaa humse puchiye,
woh jaan hi gaye ki unse pyaar aaj bhi hai,
aankhon ki mukhbari ka mazaa humse puchiye,
hassane ka shauk humko bhi tha aap ki tarah,
hassiye magar hassi ka mazaa humse puchiye,
hum taubaa kar ke marr gaye bemaut aye khuda,
kishton mein roz marne ka mazaa humse puchiye.

No comments:
Post a Comment