ab yehi dua hai ke meri dua ka kabhi asar na ho,
iss dil-e-nadan ki wajah se duniya me koi kasar na ho,
dhundhta chalu khushi ko par aisa kabhi manzar na ho,
main kisi aur ka ghum banu aur mujhe khabar na ho,
kaarwa mere saath chale ye laazmi nahi hai lekin,
manzil jisse na mile kabhi aisa koi safar na ho,
teri yaad kayamat tak mere dil ke saath rahegi,
kaandhe pe mere shayad kabhi tera sar na ho,
ek raaz ban chuki hai daastan-e-zindagi meri,
ye raaz hi reh jaayega, khabar tujhe agar na ho,
mar jaaun main zinda, aisa bhi jo din aaye,
ke apni hi nazar se girne ka mujhe koi dar na ho..!!

No comments:
Post a Comment