hum unhein woh humein bhula baithe,
do gunahgaar zehar khaa baithe,
haal-e-gam keh keh ke gham bardha baithe,
tiir maare the, par khud zakham khaa baithe,
aandhiyon jaao ab aaraam karo,
hum khud apana diyaa bujha baithe,
jee to halka huaa magar yaaro
ro ke hum dard-e-gham bardha baithe,
besaharon ka hausala hi kya,
ghar mein ghabraaye dar pe aa baithe,
jab se bicharde woh muskuraaye na hum,
sab ne chheda to lab hila baithe.
do gunahgaar zehar khaa baithe,
haal-e-gam keh keh ke gham bardha baithe,
tiir maare the, par khud zakham khaa baithe,
aandhiyon jaao ab aaraam karo,
hum khud apana diyaa bujha baithe,
jee to halka huaa magar yaaro
ro ke hum dard-e-gham bardha baithe,
besaharon ka hausala hi kya,
ghar mein ghabraaye dar pe aa baithe,
jab se bicharde woh muskuraaye na hum,
sab ne chheda to lab hila baithe.
No comments:
Post a Comment