kitna badal gaya insaan

kal jo gale milte the,
aaj gale kaat-te hain,
kal jo saath muskuraate the,
aaj aashoon baant-te hain,

dekho, waqt ki rachna kaisi,
har koi baante hai agyaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.


badlaw hai fitrat inki,
ghamand ke nashe mein choor sabhi,
chand kaagaz ke tukde jahaa,
soch ka dairaa rukta wahi,

kal tak jo darta tha bure kaamo se,
aaj buraai hai sabka imaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.

charno mein maa ke swarg hai.
sunaa, seekha tha kabhi maine aisa,
aao dekho roti huyi budhi aakho ko,
zamaana aaya hai ya khuda kaisa,
jinhone paal-posh kar barda kiya,
ban ke reh gaye ghar mein mehmaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.

naari ke hain roop kitne,
labso mein kaun inhein bayaan kare,
tha pal – pal poojniye inka,
ek jeevan mein tha saat janamo ka balidaan,

sare aam bikte hain laaj sharam ke gehne ab,
dekho kaisi khuli hai yeh dukaan,

dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan.


hai aatank chaaro aur,
nadiya hai khoon ki,
din dahade-bazaar hai,
aaj bouchaar goliyon ki,

band karo yeh khel laaso ka ab to,
maang suni ho rahi hai kitni doliyon ki,
kal tak jo poojte the geeta aur kuraan,
aaj pujte hain haiwaan saitaan,
dekho kitna badal gaya insaan,
kitna badal gaya insaan....

woh dard dene waali jaane kidhar gayi

woh pyar karne waali jaane kidhar gayi,
woh dil duhkhane waali jaane kidhar gayi,

bekaar hi betha hai barson se khuda,
woh dard dene waali jaane kidhar gayi,

dhundne se bhi milti nahi hai ab ghar mera,
woh mere liye aanshoo bahaane waali jaane kidhar gayi,

dekha sabhi ko rote aamiro ke shehar mein,
woh humpar muskarane waali jaane kidhar gayi.

zindagi teri tapis pe chalta raha hoon main

zindagi teri tapis pe chalta raha hoon main,
tere nukile teeron se lardta raha hoon main.

dost dost nahi to kya, apne apne nahi to kya,
saaya bhi mera saath nibhaaye nahi to kya,
insaaniyat ka dum hi bharta raha hoon main.

meri manzil ek diye si dikhaayi deti hai,
raat mein raushan sehar dikhaayi deti hai,
har imtehaan mein aag sa badhta raha hoon main.

mere dil tak pahunch kar woh mujhse ruuthe,
unko nahi pata ki mujh mein hain kya kya tuute,
dard ban sholon mein pighalta raha hoon main.

dariya nahi, pyasa dil ek katra chahata hai,
mujh mein bhi hai koi, jo jeena chaahta hai,
yeh kya ki ashkon kaa jashn karta raha hoon main.

uske sitam se na karna mehroom mujhe,
dekho har roz ek naya sadma dena tum mujhe,
har aas ladhkhadaayi, par nikharta raha hoon main.

kabhi pyaar mera tujhe samajh na aaya

tumne mara bewafai ka pathar,
aur yeh dil toot gaya,
ab aaye ho dil mein basne,
jab dil se hi rishta toot gaya,

tu mujhse itni nafrat kar ki,
teri nafrat se bhi pyaar barse,
log to tere pyaar ko taraste hain,
hum teri nafrat ko tarsein,

pyaar to humne bahut kiya par,
kabhi pyaar mera tujhe samajh na aaya,
log to kayi aaye meri zindagi mein,
ek ka bhi humne pyaar na paya.

phir mujhe apna ghum bardana hoga

har shabd mujhe aaj dil ko sunana hoga,
yani phir mujhe apna ghum bardana hoga,

ek sitam hi kya kam tha
jo ab har sitam ko mujhe samjhana hoga,

yeh kaun si musibat daal di tune mujh par,
jo ab roye huwon ko bhi hasana hoga,

yeh kisi ki maut ka jashn nahi hai,
yarron ko ab har ek gam ko sajana hoga,

tune thukraya in batoon ka bhi gam nahi,
ab to hum aashiqon ka fasana hoga.

bar-bar yeh hadsa mere sath ho jata hai

insaan sochta kuch hai magar ho kuch jata hai,
woh kisi na kisi ke pyar mein kho hi jata hai,

bina soche samjhe bas ussi ke pichhe
na jane kyon pagal ho hi jata hai,

magar jisse woh chahta hai,
woh kisi or ka ho jata hai,
jisse hum chahate hain,
woh humse door ho hi jate hain,

ab aye dil...
gila shikwa kare bhi to kis se karein,
bar-bar yeh hadsa mere sath ho jata hai,

jisse hum apna banana chahte hai,
woh apna nahi begana ho jata hai,

but all I can do is smile

if only I could tell her
but no words can I speak.

the distance is so great
that my arms cannot reach.

even if we were side by side
the distance would seem like miles.

my heart is filled with many words
but all I can do is smile.

woh bad-kismat raaj main hoon

zindagi aur maut ke beech khada main hoon,
ek tumhe chaha par tumse door main hoon,

tum tum na rahi, main main hi hoon,
magar tukdon tukdon mein batt gaya hoon,

wo dil hoon main
sun sako to sun lo inki aahoon ko,
unhi aahoon ki main ek sada hoon,

gujar gaye jab pyar ke woh pal,
unhi paloon ko yaad kar main roota hoon,

woh chale gaye mujhko tannhai mein chordkar,
jabse khusiyoon ko khota rahahoon main,

jo khota hai usse milta bhi jarur hai,

jisne zindagi mein bas hai khoya,
woh bad-kismat raaj main  hoon..!!

kabhi meri zindagi mein tera naam tha

kabhi dil mein teri yaad thi,
inn aankhon mein teri tasweer thi,
meri zindagi tere naam thi,
aur saansein teri jaagir thi.

kabhi kadam uth-te the teri rahoon ki taraf,
aur sajde the sirf tere hi dar ke liye,
har khuli aankh ke khwaabon mein basa karti thi tu,
teri yaadein hua karti thi mere basar ke liye.

phir kyon tune mujhe sile diye bewafai ke,
pairon tale raund dali meri yeh duniya,
jala ke dil ko mere raakh bhi rahne na di baaki,
koi baki nahi rahne diye jahan mein mera nishan.

ab to bas ek lakeer dhuwan hai,
koi siskiyan leti huyi chingari,
tanhaiyon ke nazar ho gayi rooh meri,
har taraf aag hai, bebasi aur khamosi.

jalte huwe jahan mein laut aaunga,
waapis yahan jhuthla ke maut aaunga,
teri rangeen raaton mein banke kali ghata,
mausam-e-ishk pe lahu barsaaunga.

yeh mera waada hai dil tordne wale,
jab kahi mehfil mein tera naam aayega,
bewafai ko teri log yaad rakhein ki,
ishk mera, mera diwanapan kaiyon ko yaad aayega.

hazaaron saal tak iss deewane ki aah barpegi,
aashik bhi mere naam ki kasam khayenge,
mohabbat is jahan mein hain kayi karne wale,
par mere kisse geeton mein sunaye jaayenge

meri zindagi ka yeh safar bhi ajeeb hai

dard ka zindagi pe asar bhi ajeeb hai,
dilon se khelne ka hunnar bhi ajeeb hai,

saaya ban jaati hain, chordti hi nahi,
saanson pe yaadon ka kahar bhi ajeeb hai,

naazuk hain deewaarein par girti nahi,
ummeed pe tikka mera ghar bhi ajeeb hai,

mehsoos kiye subah ko muddat si ho gayi,
andheron ka gulaam mera subah bhi ajeeb hai,

naa dil rakhte hain log naa hi seene mein wafa,
murdon ke beech meri basar bhi ajeeb hai,

aksar sochta hoon kya khata huyi mujhse,
mujhse khafa mera mukaddar bhi ajeeb hai,

naa raston ka ilm hai naa manzil ka pata,
meri zindagi ka yeh safar bhi ajeeb hai,

waqt ko aakhir kitni thokar maaroge raaj,
bardhti nahi kambakht.. yeh umar bhi ajeeb hai.

phir bewafai teri yaad aati hai

dil dukhta hai
aankh bhar aati hai,
na soche tera
to bhi teri yaad aati hai.

iss bhari duniya mein
humein tannhai nazar aati hai,
naam tera labon pe aata hai
phir bewafayi teri yaad aati hai.

har koshish tujhe bhulne ki
kyon naakam huyi jaati hai,
tune dhoka diya
bas itni si baat bahut rulati hai.

kyon pyar ke badle mein
bewafai tune ki hai,
humein aaj tak
yeh baat samajh hi nahi aati hai.

tu jo samajhti hai
jeet teri hi huyi jaati hai,
main bhi dekhunga
kab tak ambemaa mujhe insaaf nahi dilati hai.

bharosa tha tera bahut
aaj har choti yaad bhi rulaati hai,
nafrat apne aap se hoti hai
kyon tujhe meri wafa yaad nahi aati hai?

my morning prayer

oh God...

help me log on without fretting
guide me as I am browsing,
bless my downloading and uploading
keep my browser from exploding,

may my web site be protected
let not my password be rejected,
keep my line always connected
and may all my inputs be accepted,

please keep all my programs alive
and to remember to back-up my hard drive,
and protect my computer from a crashing dive
from a virus that would make it a nesting hive,

no fatal errors during the day
keeping cursor at the bay,
hand-over system back by seven
back to home like a heaven.

kya se kya zindagi ho gayi

meri zindagi kuch is tarha guzar gayi,
andhero mein chhaoo
aur chhaoo mein dhoop nikal gayi,

yeh kehna bhi galat nahi hoga
socha tha kya
aur kya se kya zindagi ho gayi...!!

mere safar ka rasta yun badal gaya kaise

yeh hadsa mere saath ho gaya kaise,
mujhe meri kismat ne barbaad kar diya kaise?

kuch waqt tak to sab thik chal raha tha
mere safar ka rasta yun badal gaya kaise?

jahan tak nazar gayi tanhai nazar aayi,
ya khuda main ek pal mein yun tannha ho gaya kaise?

ek waqt tha jab har koi tha mere saath kashti mein sawar,
yakin nahi aata.. sabne mujhe samundar mein duba diya kaise?

kya kuch nahi sochha tha maine apni iss zindagi ke liye,
aankhon mein basa tha jo khawab pura hone ke liye,
woh bas ek khawab ho gaya kaise?

suna hai woh aaye hain wapis shehar ko

sharam se woh palkein jhukaane lage hain,
zubaan se bahut lardkhadaane lage hain,

mohabbat na kejiye, humein kah ke zaalim,
dabbe honth phir muskuraane lage hain,

mere dekhne se, jhijhak uff khudaaya,
dupatte se muh ko chhupane lage hain,

suna hai woh aaye hain wapis shehar ko,
sitaaron se ghar hum sajaane lage hain,

woh auro se to puchaa kare haal dil ka,
mile hain to aankhein churaane lage hain,

khamoshi pe unke, na ghum raaj kar tu,
woh apna samajh aazmane lage hain.

naa milte humse tum to behtar hota

naa milte humse tum to behtar hota,
naa hoti yeh mulakaat to behtar hota.

naa tardapti jism ki deewaron mein rooh,
naa bikharte mere jazbaat to behtar hota.

naa aate yahan hum aur tum kabhi,
naa bannti yeh kaaynat to behtar hota.

naa chahte tujhe yoon toot kar hum,
naa hote til til barbaad to behtar hota.

chaha tha rab se tujhe bhoolun na kabhi,
karta na yeh fariyaad to behtar hota.

ashkon ne ek ek zakhm mehkaya hai,
naa hoti yeh barsaat to behtar hota.

phir pyaas jagi hai dil mein tere dard ki,
teri bewafaiyon se ho jata tript to behtar hota

koi puche to keh dunga tune kabhi humein chaha na tha

koi puche to keh dunga
tune kabhi humein chaha na tha,
inn fizaon ka iss dil se kabhi rishta na tha,

kamzoor nahi tha main
tumse se mohabbat thi…
bas ek tumhara sahara na tha.

koi to musafir thehrega shaam dhale

muskura ke ghum bhulana achha hai,
dard duniya se chhupana achha hai,

raah mein jab humsafar saath chorde,
khud bhi peechhe laut jaana achha hai,

koi to musafir thehrega shaam dhale,
ghar chiragon se sajana achha hai,

jo karein kirdaar ki baatein tujhse,
aayina un ko dikhana achha hai,

neev hillne lagi iss bayabaan ki,
ab tera ghar laut aana achha hai,

jo milo to dil khol ke milo sab se,
zakhm seene pe hi khaana achha hai,

kaash ke jal jaaye tasweer-e-bewafa,
ya shayed mera hi dil jalana achha hai.

yeh zindagi ki sachai hai

yeh zindagi ki sachai hai
yahan dard aur ruswaai hai,

jo rehna chahta hai yahan izzat se
usne thokar logo se bahot khai ha.

logon ki bheed saja kar tannha hoon aise

na jane kaise hum aa gaye tere ishq ki mehfil mein,
lahron se to bach nikle par dubb gaye hain sahil mein.

kaanton bhari raahein hi ho jis musafir ko pasand,
kya khaak lutf milega usse gulon ki manzil mein.

teri yaadon ke saaye, kuch pichle humshaaye,
bhagwan bhi bassa tha kabhi iss pathar dil mein.

logon ki bheed saja kar tannha hoon aise,
jaise chaand tannha hai taron ki mahfil mein.

mera aks bhi ab dikhta nahi teri aankhon mein,
dubb gaya hoon shayad inn ashqon ki jheel mein.

ab to har chehare mein nazar aati hai wo bewafa,
khudaya aa gaya hoon yeh kaisi mushkil mein.

adhure sahi par khawab to sabke hote hain

yahan apni apni bari par
sab hasste hain sab rote hain,

dil to sab ka hai
aur dukh bhi sabke hote hain.

kuch ashk dilon par girte hain
kuch matti mein mil jate hain,

kuch lafz ada ho jate hain,
kuch honton mein sil jate hain.

mana ke adhure rehte hain
par khawab to sabke hote hain,

kuch kho kar bhi paa lete hain
kuch paa kar bhi kho dete hain.

yahan apni apni bari par
sab hasste hain sab rote hain..

har chhot pe maine unhi ko pukara hai

har chhot pe maine unhi ko pukara hai,
meri maa hi bas ab to mere jeene ka sahara hai,

kaha khud ne par auro ko kabhi kehne na diya,
har bhool ko tune barde pyar se sudhara hai,

aaj jo kuch hoon unhi ki mehnat ka phal hoon,
apna jeewan maine apni maa par waara hai,

meri tanhaiya unhi ke wajud se hai roshan,
ha maa tune hi ess ziddi lardke ko sawara hai,

ek teri hasti jo nahi.. to main kuch bhi nahi,
jiske paas tu nahi woh jeeti bazi haara hai,

kabhi main jhagdu tujh se, kabhi pyar karoon,
es duniya mein apna rishta sabse pyara hai,

maana ho laga hai kafi barda ab tera raaj,
par guzarna teri hi gaud mein yeh jeevan saara hai.

khudaya tujhe bhi meri fikar naa rahi

kyun sunta nahi tu bhi aaj kal,
khudaya tujhe bhi meri fikar naa rahi.

tere iss matlab parast jahan mein,
yaaron ko bhi meri kadar naa rahi.

mere gharonde ko jisne naa kuchla,
sagar ki aisi koi lahar naa rahi.

pyaase ko to katra bhi tha bahut,
teri mujhpe gawara yeh mehar naa rahi.

sham ke sang kismat bhi chamakti,
meri zindagi ki aisi koi sham naa rahi.

woh bhi naa laut ke aayenge kabhi,
shayad apni hi duaon mein asar naa rahi…

apne hi dil se har roz bagawat hazar karte hain

ya khuda gar yeh dushmani hai to kya khoob hai,
hum jo logon se unke shikve, unhi ki shikayat karte hain.

jab unse mil pana mukaddar naa hua to,
har pal rab se tamanna hazar karte hain.

ek wo jo katal kar ke hamara khush hote hain,
ek hum jo unki ek khushi pe bhi har roz marte hain.

wo sange- pathar jisne torda iss aaiyna -e-dil ko,
phir bhi naa kiye gile kyonki hum to unhi se mohabbat karte hain.

dil jisse chahe, jahaan usse hi bhulana chahe,
apne hi dil se har roz bagawat hazar karte hain.

ab kis khuda se hum tujhe maangein jaan,
ki hum to bas teri hi khawab-o-khayaal karte hain.

main unse shikve bhi karoon to kaise karoon,
ki woh vaade-wafa bhi khawabon mein aakar karte hain.

na dhardakta hai dil na saans aati hai

na raat katati hai na subah hoti hai,
na din gujarta hai na shaam aati hai,

pucho na kya haal hai mera,
na dhardakta hai dil na saans aati hai.

na milti hai mujhe maut na milti hai khusi

aisa bhi ek din tha jab tu mere kareeb thi,
hum rehte the saath, karte the dher sari baatein,

main kitna kushnaseeb tha, na thi chinta na thi gum,
na thi yeh tanhai na thi ye chubhta hua gum,

aaj main us mord pe aa gaya hoon,
jahan se har taraf har mord pe tu hi tu dikhai deti hai,

teri khil-khilahat, woh hassi sunai deti hai,
lagta hai tu door khadi hai apni baahein failaye
aur mujhe bula rahi hai,

main bardhta hoon to tu gayab ho jaati hai,
bata tu kyun mujhe itna tardpaati hai?

main chaah kar bhi tannha ho nahi pata,
tera wajood se judaa ho nahi pata,

kehti hai tu mujhse,
tu kyun hai udaas, tu kyun hai dukhi,
bhul ja mujhe aur reh sukhi,

na chahon main tanha-pan, na baatein na hassin,
par main bhi hoon majboor apni chahat se,
na milti hai mujhe maut na milti hai khusi.

kinara door tak koi nahi hai

humara door tak koi nahi hai,
sahara door tak koi nahi hai,

humein phirse milenge guzara mousam,
ishara door tak koi nahi hai,

milega ashman mujh ko jisme,
sittra door tak koi nahi hai,

main gehre paaniyon mein ghirgaya hoon,
kinara door tak koi nahi hai,

khada hoon main akela rahguzar par,
pukaara door tak koi nahi hai,

umar kuch aise ab to jal raha hai,
sharah door tak koi nahi hai.

dusro ke liye apno ko chord jaane wale

gham-e-tanhai mein dil ko dhardkne wale,
mila kar aankhon se ankhein, dil mein basne wale,

main tujhe kaise kahon mere dil mein tu hai,
dilon ko tord kar sheshon ko jordne wale,

woh apni aankh mein kajal laga kar khene lage,
ab to mar hi mitt gaye aankh par marne wale,

laga kar aag se sene mein hass kar chal deye,
humsafer kya ban gaye, pyar mein darne wale,

ab to raaton ko karwatein badal kar sote hain,
kahi sapno mein na aajaye nindein churane wale,

jo dusron ke liye apno ko chord dete hain,
unhi se milte hain ye jhuthe zamane wale.

hum khud apana diyaa bujha baithe

hum unhein woh humein bhula baithe,
do gunahgaar zehar khaa baithe,

haal-e-gam keh keh ke gham bardha baithe,
tiir maare the, par khud zakham khaa baithe,

aandhiyon jaao ab aaraam karo,
hum khud apana diyaa bujha baithe,

jee to halka huaa magar yaaro
ro ke hum dard-e-gham bardha baithe,

besaharon ka hausala hi kya,
ghar mein ghabraaye dar pe aa baithe,

jab se bicharde woh muskuraaye na hum,
sab ne chheda to lab hila baithe.

life goes on

day after day life goes on
not knowing what lies ahead,


not knowing what terrifies us the most
I wish I knew...


I wish I knew that was gonna be the
last time I was gonna see you,


but as always life goes on...!

pal pal bikhar raha hoon main

zindagi ek aag hai
pal pal jal raha hoon main,

zindagi ek toofan hai
pal pal bikhar raha hoon main,

zindagi ek baddua hai
pal pal bhugat raha hoon main,

zindagi ek aashoon hai
pal pal sisak raha hoon main,

zindagi ek sailaab hai
pal pal doob raha hoon main,

zindagi ek dard hai
pal pal bilak raha hoon main,

zindagi ek ehsaas hai
pal pal tardap raha hoon main,

zindagi ek aas hai
pal pal tut raha hoon main,

zindagi ek pyaas hai
pal pal mitt raha hoon main,

zindagi ek kashmakash hai
pal pal pareshaaan hoon main,

zindagi ek gham-e-kissa hai
pal pal dohara raha hoon main,

zindagi ek mayus kahani hai
pal pal isse jee raha hoon main.

jidhar se chale hum wahin aa khade the

zindagi ki rahon mein akele hi chal pade the,
manzil thi woh aur kaante haazar khade the.

phir bhi jutaake himmat hum jhel gaye sabko.
par manzil milna to doorr,
jidhar se chale hum wahin aa khade the.

kishton mein khudkushi ka mazaa humse puchiye

ek pal mein ek sadi ka mazaa humse puchiye,
do din ki zindagi ka mazaa 
humse puchiye,

bhule hain unhein rafta rafta mudatton mein hum,
kishton mein khudkushi ka mazaa 
humse puchiye,

aagaaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye,
anjaam-e-aashiqi ka mazaa 
humse puchiye,

jalte diyon mein jalte gharon jaise aanch kahaan,
sarkar roshni ka mazaa 
humse puchiye,

woh jaan hi gaye ki unse pyaar aaj bhi hai,
aankhon ki mukhbari ka mazaa 
humse puchiye,

hassane ka shauk humko bhi tha aap ki tarah,
hassiye magar hassi ka mazaa 
humse puchiye,

hum taubaa kar ke marr gaye bemaut aye khuda,
kishton mein roz marne ka mazaa 
humse puchiye.

mere bin tu khush rehne ki arzoo kerna

main ek tuta bikhra aayina hoon,
mujhe jordne ki na tum chahat kerna,

main kisi ka haara hua naseeb hoon,
mujhe jeetne ki na tum koshish kerna,

mera chehra jo tumne baraso se nahi dekha,
haan ab mere naam se bhi tum nafrat kerna,

bhale tu ek bewafai ki jeeti jagti misaal hai,
par mujhe tum duniya bhar mein badnaam kerna,

har bure alfaz mein meri kahani kehna,
iss tarah apne dil ko sukoon kerna,

meri aankhon ki nami tum dekh na sake,
meri naaao doobne ki baddua kerna,

meri aur koi khuwahish nahi aye dil,
mere bin tu khush rehne ki arzoo kerna.

sadness is a feeling I know so well

sadness is a feeling
I know so well,

as a flower knows the droplets of water
which continues to drop
and forms into tears,


as number is impossible to count
of pain which is tolerated,
even when intolerable it becomes
is the feeling I get.

hardly expressed which is by me
except in words where I feel a home exists,

which a lost explorer found
on his journey to unknown lands
without name which are
for unexplored they remain,

which only a being feels
knows who does the land of pain,
which exists and isn’t visited
for the journey increases the pain,

already existent which was
in distributed levels of feelings
through words…… in remains.

kash ke dard e dil ka ehsas sabhi ko hota

kash ke dard e dil ka ehsas sabhi ko hota,
to koi yun akela kabhi ghumheen na hota,

chahat hi khushbu mehekti phir fizaon mein,
har lamha ehsas bas khushi ka hota.

jab dil tutte to kaisa lagta hai yeh humse pucho

anjaan sehar, anjaan dagar aur ajnabi logon
ke beech rehna kita mushkil hai yeh humse pucho,

apno se durr hoke veeraan basti mein
kaise jeete hain yeh humse pucho,

pyar ke naam pe jab dhoka mile to
dil kaise rota hai yeh humse pucho.

dil ki armaano ko jab koi kuchal ke chal deta hai
to kaisa lagta hai yeh humse pucho,

zindagi mein jise hum sabkuch maan ke chalte hain,
jab wahi tumhein samajhne mein haar jaye
to kaisa lagta hai yeh humse pucho,

kya dosti, kaisi mohabbat..
jab khuda ke naam pe hi koi jhuti kasam kha leta hai,
to kaisa lagta hai yeh humse pucho.

lagta hai ghut ghut ke jeena iss bar humko mila hai

ek tardap ek ahsas ek dard ka sila hai,
ki ghum ka har fasana to tohfe mein mila hai,

hum to samajhte the hum hi hain dard ke maare is jahan mein,
par yahan to dard ke maaron ka kafila hai.

ki khawaisein na jaane kaha goom ho gayi  bheed mein,
phir bhi zamane se na humko koi gila hai,

ki hum to chahte hain ke gulsan ho jaye yeh duniya saari,
ek phool bhi na khushiyon ka mere gulshan mein khila hai,

muddaton se mil rahe haiz zakhm bus tannhi mein,
ki waqt ne hi yaar dil ka zakhm har sila hai.

ek tardap ek ahsaas ek dard ka sila hai,
roke hain sailaab kitne palko ke kinaro pe,

har ghardi in aashkon ka waar humko mila hai,
jism bus ek laas hai, yahan kab mile phursat mujhe,

lagta hai ghut ghut ke jeena iss bar humko mila hai,
ek tadap ek ahsaas ek dard ka sila hai.

kassh ki main tujhko dil se bhula deta

kash main khuda ya khuda ki jagah hota
to dard-aur-taklif ko sare jahan se mita deta.

gujra hua zamana muhje kya sazaa deta,
kassh..! ki main tujhko dil se bhula deta.

yeh main tha jo chupaya dil mein har ek baat,
koi aur gar hota to tamasha banaa deta.

bewafao ki list mein tu hoti sharamsar
main chahata to har raaz se parda hata deta.

socha kisi ko ruswa karna theek nahi
warna tere rutwe ko khak mein mila deta .

baitha tha jo lagake sharafat ki numaish
chahta to uske har gunah ko gina deta.

maine hi kadam rok liye bardhte us taraf
gar chahata to khoon ki nadiyaan baha deta.

har sehar main apne kaatil ko dhundta raha

ruk ruk ke main hamesha chalta raha,
har sehar mein apne kaatil ko dhundta raha,

huyi hai jab se nazron se ojhal woh,
jaise har khusi ko main tarashta raha,

nahi raha jeewan mein kuch ek uske siwa
jis naam ke sahare main humesha chalta raha,

na jaane kis bheed mein kho gayi woh,
nazron mein jiske pyar hamesha main dekhta raha,

kabhi manjoor na the ashk meri ankho mein,
zalim na jaane mujhe tanha chord kanha kho gayi,

sayad ibbadat mein us khuda ki koi kami thi,
jo umar bhar ka gum mere sine mein dafan ker gaya,

har sehar main apne kaatil ko dhundta raha,
ruk ruk ke main hamesha chalta raha

yaad nahi mujh ko kab muskaraya tha main

yaad nahi mujh ko kab muskaraya tha main,
ki is jahan mein kitni thokar khaya tha main,
bas yun hi chalta raha kha kha ke thokrein,
ke jaise ghum ke waaste duniya mein aaya tha main.

jab bhi dekhta hoon andhere nazar aate hain,
zakam itne gehre hain har pal yeh asar karte hai,
koi saath deta duniya mein to baat hi aur hoti,
ki bas intzaar mout ka sham-o-subah karte hai.

kya yahi zindagi hai

har saks paresaan hai,
har chehre pe udasi hai,
har aankh mein aashu hai,
har aatma pyaasi hai.
ke har chehre pe chehra hai, 
har hasrat pe pehra hai,
kya yahi zindgi hai??

yahan dil mein kuch hai,
aur juban pe kuch hai,
ki peeth mein khanjar
kyu bhokne ka daur hai,

kya mar gayi insaniyat
ya badli hai neeyat,
ki bas sochna apne baare mein,
sirf apne bare mein...
kya yahi zindgi hai??

pyar ke badle dhoka,
har kisi ko chahiye bas mouka,
paise ka khel, gareebo ko tardpana,

yeh badle badle se insaan,
yeh patther sa dil,
yeh dhoka.. yeh nafrat.. yeh lardai.. yeh siyast,
kya yahi zindgi hai??

I am ready.. you may hit once more

I am ready...
your love has made me tough and strong.
I am not an easy kill, for sure
often my foes have, too went wrong.

I am soft at heart but firm and pure
you are lovely.. yes,
you are lovely dear.
but why should you cultivate fear?
why should you leave your own resolves?

pick up and move in your best gear,
it’s all right, you have dealt a blow,
it could have struck but was too slow,
I was though, de-mobilized for a day,

but quickly recovered and went through,
I am older! might have been bore ?
I am ready.. you may now hit more.

why should not you get, all good care ?
why I should not be always fair ?
why shouldn’t I be all reasonable ?

I don’t think, I am that mentally bare,
my ship- man threw me off the shore,
I got tormented to my core,
it was a shock! but I swam through
I am now on the solid ground ashore.

let’s forget, what went by these days,
let morning bless us through these rays,
let’s part if it suits you my dear and
let these passions get a gauge.

yet see I am a panting to the core
I am ready.. you may hit me more.

kisi ke rukhepan ne humein pal-pal sataya

hum sabhi ke zindagi ka ek sach,
kisi ke pyaar ne zindagi mein umeed ka suraj jagaya,
to ussi ki bewafai ne usse dubba diya,

kisi ke milan ne asha ki kirane jagayi,
to ussi ke maut ne dukh bhare kaante bikhra diye,

kisi ne apne pyaar mein humein har pal hassaya,
to ussi ne humare vishwas ka mazak urdaya,

kisi ke rukhepan ne humein pal-pal sataya,
to ussi ki humdardi ne dil ko karar diya,

kisi ke gusse ne maan ko ghayal kiya,
to ussi ki mithi baaton ne marham lagaya,

in sabhi bhavnao ne kagaz par utrne ki raaj se zid ki,
aur raaj mein chhupe kavi ko bahar nikalne ko majbur kiya,

to raaj ne bhavnao ko dekar shabdo ka roop,
apne dil ke bojh ko halka kiya.

let's maintain a certain distance

even roads have clearances
a system of space
where movement becomes easier.

even buildings that grow
from patches of your earth
have easements,
the servient estate giving
in to the dominant one.

even the flow of the waters
from the higher estate to the lower ones,
for the proper sharing of the resources
dams and locks are made.

it is the same with us
between you and me
someone has to be servient,
to one who occupies this dominance
maybe for a while.


when we have not mastered
yet this art of balancing
and walking on some tight ropes.

give me a little space
for my thoughts to grow,
give me a little distance
so I can see
the better perspective of you
from faraway.

enough of the particulars
I am deceived,
let me try seeing you
as a whole and let me find
who we are from there.

All Time's Favourite Posts