gar main usko bhoola deta to mere pass kya rehta

agar aanshu baha deta to mere pass kya rehta,
woh mujh ko hoosla dete to uske pass kya rehta.

nishan mujh ko nahi milta koi us tak pohachne ka,
mujhe apna pata dete to uske pass kya rehta.

musafir sare hi phaal kha ke apni rah chal dete,
sare tehni jhuka dete to uske pass kya rehta.

uski yaadon ne hi ab tak mujhe abaad rakha hai,
main usko hi bhoola deta to mere pass kya rehta.

woh ehsas mohabbat ke na jane kahan kho gaye

woh ehsas mohabbat ke, na jane kahan kho gaye,
laut ke na aayi phir kabhi khushiyan, woh jazbey jo gaye.

woh jo niharaa karte the humein neend mein,
aaj wahi jhunjla jaate hain agar poocha kyun, so gaye?

letkar ek saath, banate the zindagi ki tasveer,
chhat pe putey they kuch khawab rangeen, shayad dho gaye.

kya kuch tha un dino mein, jo ab nahi reh gaya,
ho chala hai yakeen, ke ab hum, ek-duusre ke aadi ho gaye.

ab roz-marre ki zindagi bhi lagti pahaad si humein,
aur lage bhi kyu na? aakhir ek se ab hum jo ho do gaye.

kya tumhein yaad hai

woh guzre pal kya tumhein yaad hain?
woh humari mulakat kya tumhein yaad hai?

hum mile the jaise..
dubte huye suraj ki roshni badlo se hai milti,
jaise barish ki boonde is dhra se hai milti,
bago mein koi titli gulab ke phool se hai milti,
aisa tha humari mulakaat ka manzar,
kya tumhein yaad hai...

woh guzre pal kya tumhein yaad hain?
woh tumhara muskurana
muskurate hue mujhse baatein karna,
kya tumhein yaad hai...

bina kuch kahe mere sawaalon ka
jawab deti tumhari woh jhuki huye nazar,
aisa tha humari mulakat ka manzar,
kya tumhein yaad hai...

woh guzre pal kya tumhein yaad hai?
woh humara bichadna kya tumhein yaad hai
hum bicharde the jaise koi
ho pyaasa registhan mein,
jaise koi ho ghira tufaano mein,

tardapta raha mein tumari yaadon mein,
jaise chand amawasya ki raat mein,
kuch aisa tha humara bichrdna,
kya tumhein yaad hai...

mera woh jeete je mar jaana,
ashkon ki dharaon ka
katil lehron mein badal jaana,
kuch aisha tha woh manzar
kya tumhein yaad hai?

ab uska aur intezaar na kar

apne pyaar ki yun numaish na kar,
khuda se koi sifarish na kar,
sapne hote hi hain tutne ke liye,
unke sach hone ki umeed na kar.

apne ghumo ki yun numaish na kar,
apne nasib ki yun aazmaish na kar,
jo tera hai tere dar pe khud aayega,
roz usse paane ki khwaish na kar.

apne tannhai ki yun numaish na kar,
un yaadon so yun parda na kar,
jo beet gaya bhool ja usse,
ab chup chup kar, yun roya na kar.

apne zameer ki yun numaish na kar,
haddo ki dehliz yun paar na kar,
zindagi ko kaafi barbaad kiya tune,
ab uska aur intezaar na kar. 

zindagi ka ek aur varsh kam ho chala

zindagi ka ek aur varsh kam ho chala,
kuch purani yaadein piche chord chala,

kuch khwaishein dil mein rah jaatin hain,
kuch bin mange mil jaatin hain,

kuch chord kar chale gaye,
kuch naye jurdenge iss safar mein,

kuch mujhse bohat khafa hain,
kuch mujhse bohat khus hain,

kuch mujhe mil kar bhool gaye,
kuch mujhe aaj bhi yaad kerte hain,

kuch shayed anjaan hain,
kuch bohot pareshan haiin,

kuch ko mera intezaar hai,
kuch ka mujhe intezaar hai,

kuch sahi hai,
kuch galat bhi hai,

kuch galti ho to maaf kegeye,
aur kuch accha lage to yaad kegeye.

khud mein ek insaan rakho tum

geeta ya kuran rakho tum,
mann mein itna dhyaan rakho tum,

tut na paaye mann ka mandir,
har dil mein bhagwaan rakho tum,

dharti banegi pyaar ka saagar,
auroan ka ehsaan rakho tum,

bunn jaaoge tum bhi paygmber,
khud mein ek insaan rakho tum,

bardh jaayegi dil ki kheemat,
pyaara sa mehmaan rakho tum,

jeet hi loage duniya ek din,
jazboan ka tufaan rakho tum,

yaad rakhegi duniya tum ko,
apni ek pehchaan rakho tum,

kaam nahin hai koi mushkil,
dil mein yeh eemaan rakho tum,

duniya tum ko chaahegi,
bas chaahat ka armaan rakho tum,

dil hai tumhaara moam ke jaisa,
iss par na chattaan rakho tum,

pachtaaoge tum kisi din,
dil mein na shaitaan rakho tum.

ek hum the jo tutte khawabo ki tasveer banate rahe

ek hum the jo tutte huye khawabo ki tasveer banate rahe,
ek woh the jo gairo ke sang apni takdeer banate rahe,

woh kahte the humein ki humse juda na hona,
hum tum se juda ho kar jee nahi payenge,

agar kahbi khayal bhi aye tumhein bichardne ka
tere iss khyal se hi hum marr jayenge.

aaj dekhta hoon unko to khud par taras aata hai,
kitna jhoota hota hai inn hasin ladkiyon ka wada,

aye-khuda ab na milana kabhi aise husn ke thekedaro se,
woh to pyar mein mar na sake,
lekin hum issi gam se marr jayege. 

kash tujhse ek baar phir mil paate

kash tujhse ek baar phir mil paate,
dil ke zakham kuch palo ko sil jaate,

dekhte teri ankhon mein phir apna chehra,
teri bahon mein phir se simat jaate,

khayalon ko hakikat ka aaina de paate,
khawabo ko kuch palon ke liye jee jaate,

bichadte kaise phir hum tujhse aye sanam,
yahi soch kar the kadam mere ruk jaate,

kash tujhse ek baar phir mil paate,
dil ke zakham kuch palo ko sil jaate. 

kabhi sooraj bechara bhool jaaye savera

zindagi mein hosh sambhale to aapne aap se pucha,
ki yeh kya bala hai aur kyun nahi aisa dooja?
tab se hi aaj tak main sooraj se poochta hoon,


ki aap hi jag ko roshni kyun dikhate hain,
aur phir kyun aap kuch der chup jaate hain?

kyun dharti par bhi aapka raaj hai?
jab ki aap dharti ko chu bhi nahin paate hain?

iss par sooraj muskura kar bola,
ki dharti hai shabnam aur main uska shola!

hifazat tumhari main aise karta hoon,
ki chand ko bhi wafai ka paigam main hi bharta hoon,

kuch der hi sahi par yeh usool hai mera,
ki bechara chaand na reh jaaye bilkul akela!

chand ko bhi hak hai ki aapni chaandni woh dikhaye,
aur dharti ke aalam pe aapne daag woh chipaye,

tabhi sooraj aur main tanhai mein milte hain,
ki kabhi woh bhi bechara bhool jaaye savera.

aaj bhi har shaam tera intzaar hota hai

aaj bhi har shaam tera intzaar hota hai,
din dhalte hi dil ajab bekraar hota hai.

bewafa ho, zalim ho, harjai ho ya katil?
kuch bhi ho yaar magar yaar hota hai.

kuch iss ka haal apna hota hai aaj kal,
labon pe hasi hoti hai lekin dil rota hai.

meetha lagta hai pehle to yeh ishq ka teer,
tis uthti hai jab jigar ke paar hota hai.

yeh ishq hai ishq koi khel nahi nadaano ka,
bacch jata hai woh jo samjhdaar hota hai.

doob jati hai kashtiya bhi sahil pe aakar,
kab naseeb pe kissi ka ikhtiyar hota hai?

kar uthta hai tab ghalib bhi waah waah,
jab bhi kabhi gazalsaar hota hai.

tera ghar ab meri raah mein nahi hai

tera ghar ab meri raah mein nahi hai,
teri surat ab nigaah mein nahi hai,

bewafai karke aap yun dil tord gaye,
aawara hai dil ab panaah mein nahi hai,

kuch to reham kiya hota jawani pe,
katle ishq kya tere gunaah mein nahi hai?

daaman se baandhkar kahan rakh saka hai,
hawaon ka rukh nibaah mein nahi hai. 

pyar ishq se uth gaya hai bharosa

kisi zamane mein hum aashiq hua karte the,
aapne bhi tab ishq ke charche hua karte the,

hum bhi pagal the uss chehare ki aas mein,
ki tab humare armaan machla karte the,

kehte hain log ki pyaar amar hota hai,
phir kyun ab dil mera itna rota hai?

woh aarman iss tarah doob gaye,
ki hum phir bas, poori tarah toot gaye,

pyar ishq se uth gaya hai bharosa,
uss din jab woh hum se rooth gaye.

I know I write this too in vain

my soul is troubled, my heart in pain,
I know I write this too in vain,

often I have met with dis-illusioment and in tears,
how often have I placed happiness in fading gains,

I have never learnt, I’ll never learn
to hold things by the value of their worth.

sublimal bliss I have never craved
but God can I have some joy without pain?

my heart.. a fool’s heart, my eyes of a blind,
I prayed for the joy that was never mine.

let my love remain unquenched,
let it flow like a river unbound.

over your soul, over your heart,
over your joys, over your cheers.

I loved you with my body and my soul,
I loved you purely and freehold.

I loved you with passion and my grief,
I loved you with love that was meant to lose.

happiness ebbed and flowed in my veins,
you became the soverign of my being.

had me attending to your every whim,
my love was my day and my night.

my love was my treasure and my might,
dull the senses numb the pain.

as with the price your departure came
your happiness for my tears.

your warmth for my frigidity
your blossoming for my withering
your brightness as I fade.

yeh bharat desh hamara hai

kuch nasha tirange ki aan ka hai,
kuch nasha maatr-bhoomi ki shaan ka hai,
hum lehraayenge har jagah isse,
yeh tiranga hindustan ki shaan ka hai...

sundar hai jag mein, sabse naam bhi pyara hai,
jaha jaati bhasa se badh kar desh prem ki dhara hai,
nischay pawan prem-purn aur vishal hriday wala hai,
yeh bharat desh hamara hai, yeh bharat desh hamara hai...

na sarkar meri, na robb mera, na bada sa naam mera,
mujhe to ek choti si baat ka gaurav hai ki,
main hindustan ka hoon, aur hindustan hamara hai...

do din ka nahi sadiyon se rishta hai,
iss watan ki mitti se attut nata hai,
hamare bujurgon ne khun dekar sichha hai iss mitti ko,
pehle watan hai, baad mein sara jahan hamara hai...

ab tak jiska khun na kholla, khun nahi woh paani hai,
jo desh ke kaam na aaye, woh bekaar jawaani hai,
aan desh ki, shaan desh ki, 

iss desh ki hum sab santaane hain,
tin rang se ranga tiranga,
apni to bas yehi ek pehchan hai...

main hoon hanuman aur bharat desh mera raam hai,
dekh lo chatti chir kar, dil mein aapna hindustaan hai.

aao desh ka samman kare, 
shahido ki shahadat yaad kare,
ek baar phirse rastra ki kaman,
hum hindustani apne haath dhare, 

chard jaayein jo hans kar suli mein, 
khayi jinhone sinne par goli hai,
hum unko pranaam kare,
jo mit gaye desh par,
hum unko salam kare...


yeh nafrat buri hai, na paalo isse,
dilon mein khalish hai, nikalo isse,
na tera, na mera, na inka, na uska,
yeh sabka vatan hai, bachalo issse...

sanskaar aur sanskriti ki shaan mile,
hindu muslim aur hindustaan mile,’
hum mil jul kar sab aise rahe ki,
mandir mein allha aur mazid mein raam mile...!!

Jai Hind.......!!

saada sa dil tha apna saada dil ke armaan

saada sa dil tha apna, saada dil ke armaan nikle,
saada aankhon mein, sehme se sapno ke arman nikle,

baithe hum biyaabaan-e-dil mein, tanhai ka ehsaas liye,
shayad dard-e-dil se ho kar koi be-aabhru nikle,

unke reham-o-karm se humne jab tab muh ki khayi hai,
humko jinse maat mili koi aur nahi raazdaan nikle,

kisi ka dil tute na humse, na humse koi chott aaye,
pee kar khuun-e-dil ko hum, kaat kar apni zabaan nikle,

taa-umr dil ke tukron ko chunkar, tutte ruuh ko behlaaya,
kya ranj ke yaas-o-gham mein deke zehar charah-jaan nikle. 

sapney kab apne hote hain

palkon ki sez par soye, aankhon ka paani hote hain,
zara aankh khuli ki, yeh beh jaate hain.

bekhud si zindagi mein, muskan le aate hain,
chand lamhon ki baat hai magar, phir saath jaate hain.

inki kadar kiye jaao to, nigahon mein reh jaate hain,
agle hi pal, aasma se zameen pe le aate hain.

jazbaaton ka dariya behta hai to, bekabu kar dete hain,
be-buniyad se rishton ko, kitne hi naam de dete hain.

jo sach na dekh payein khuli aankhon se, wahi sach roop badal kar,
band aankhon mein dikhayi dete hain.

aankhon ke pichche chupe hote hain,
sach hai sapney kitne laachaar hote hain.

aur kuch nahin bas, aankh ka paani hote hain,
zara si aankh khulte hi, beh jaate hain.

sach hai sapney kab apne hote hain,
sapney to bas sapney hote hain.

aye kash ki koyi inn kore kagazon pe likhi gazal padh pata

aye kash ki koyi inn kore kagazon pe likhi gazal padh pata,
koi humdum jo in aanshuo ka namak chakh sakta,

aye kash ki koyi sine pe hath rakh ke
dil ki zubaan samajh sakta,
ki koi humdum jo jism se milke rooh mein ghul jaata.

jiska intezaar ab tak karta aaya hoon main,
kayi samandar kayi sadiyaan rahi hai hamare beech.

aye kash ke tu samajh paati meri deewangi ka junun aur
aye kash koi aisa manzar bhi hota,

jahan main teri ruh ko bhi chu sakta,
aur hum do ruhon se ek ruh ho jaate.

phirta hoon main zindagi ki talash mein

aaya tha dil ki gali mein, ek chehare ki talash mein,
jo dikha tha kabhi mujhe, us khwaab ki talash 
mein,

har dar band tha, band thi har khidki..
par main bardta raha, yun hi bas ek didaar ki aas 
mein.

ki maine minnate kayi ki.. kayi fariyade karta raha,
jaise ek sehra ka musafir pani ki pyas 
mein,

mila to mujhe bhi pyar, mile kayi saare wade bhi,
bas ab sochta hoon, rakh leta aankhon pe kash 
main.

mili thi har khushi, har woh khwaab jo dekha tha,
sapno mein thi jo kal tak, thi mere pas 
mein.

phir yeh kaise mord pe aaj aaya hoon,
ki aaj phirta hoon main, zindagi ki talash mein.

kyunki woh jo gayi hai, woh to dhoka tha nazron ka,
khatam zindagi kar, aankhein khol le raha hoon,
ab bas aakhiri sans main.

khair.. jo hua so hua

khair.. jo hua so hua,
ab dil naa kisi se lagaayeinge.

haari hain jo baazi pyaar ki ek baar,
har baar naa usse yuh haarte jayeinge.

gar maut bhi aayegi raahon mein apni,
usse bhi mazaa hum chakhaayeinge. 

bomb kahi par phoota hai

ek mere jaisa ladka hai,
mere hi desh mein rehta hai,
mere sath khela hai sada
mere sath hi jagata hai.

us mere jaise ladke ke
nayan aaj kyon rote hain,
us ke papa kal se ab tak
apne ghar nahi laute hain.

phone utha ke idhar udhar
maa kuch baatein karti hai,
sawal poochti darte darte
jawab se aankh yeh bharti hai.

bachha woh rote rote hi
aakhir soo hi jata hai,
chonk chonk ke jaag jata hai,
papa ka yaad to aata hai.

ek din bhi bin papa ke
neend naa usko aata hai,
sapne mein jhagard raha papa se
aansho woh khoob bahata hai.

maa ka hath hai uss ke sar par
yeh rishta khoob anootha hai,
samachar mein dekh raha,
bomb kahi par phoota hai.

us mere jaise ladke ke
ab nayan sada hi royenge,
maa ne kah dala hai uss se,
ab papa nahi aayenge.

jo yahan wahan bomb rakhte hain
kya mujh ko samjhayenge,
un ke bachhe kya sochenge
gar woh ghar naa jayenge??

haan main aaj bhi mohabbat karta hoon

aksar apne kamre ki khidki ke paas baith kar
main khoya sa rehta hoon, kuch socha karta hoon.

moond kar apni palkon ko yaad karta hoon tumhe,
aur dheere dheere se kuch khwaab buna karta hoon.

aate jaate logon ke chehron ko dekhta hoon main,
anjaan chehro main woh ek chehra dhoonda karta hoon.

sochte huye tumhe yunhi nam ho jaati hain palken meri,
ankhon ki baarish mein, main asksar bheega karta hoon.

phir tumhara ishq mujh ko dheere se dilaase deta hai,
bachon ki tarah, rona chord ke muskuraya karta hoon.

ishq hai ya sanam ki ibaadat yeh nahi main jaanta,
haan bas dil-o-jaan se main tumse aaj bhi mohabbat karta hoon. 

ek zariya tere saath hone ka

din mein bhi sona chaahta hoon,
tere khwaboon mein khona chaahta hoon,
ek yehi to zariya hai tujhe dekhne ka,
ek yehi to zariya hai mera...
tere saath hone ka..!!

chalo iss valentine par kuch aisa karte hain

chalo iss valentine par kuch aisa karte hain… 

pichle baras ke sookhe pholon ko,
apni chahton se taza karte hain,
aur phir aaj ke in phoolon se,
un mein ezaafa karte hain,

chalo iss valentine par kuch aisa karte hain…!! 

kuch pal ke liye hum ajnabi bante hain,
ek aam se sada kagaz par,
ek lafz “mohabbat” likhte hain,
aur phir iss lafz ke ehsas ko,
ek naye andaz se milte hain,

chalo iss valentine par kuch aisa karte hain… !!

apne sare gham apne sare dukh,
tum mujhe de dena,
meri sari khushiyan mere sare sukh,
tum rakh lena,
rab se kuch iss tarah ki dua karte hain, 

chalo iss valentine par kuch aisa karte hain… !!

mohabbat cheez hai aisi

mohabbat cheez hai aisi, kabhi hoti hai apnon se,
kabhi hoti hai sapnon se, kabhi anjaan raahon se,

kabhi gumnaam naamon se, mohabbat cheez hai aisi,
kabhi hoti hai phoolon se, kabhi bachhpan ke jhoolon se,

kabhi be-ikhtiari mein, kabhi pakke usoolon se,
mohabbat ek mohabbat hai, mohabbat ek sadakat hai,

mohabbat ek ibaadat hai, mohabbat cheez hai aisi,
dukhon mein rol deti hai, dard unmol deti hai,
zehar bhi ghol deti hai, mohabbat cheez hai aisi.

aaj har lamha sath guzara bahot yaad aa raha hai

woh barish ki bunde bhigoti thi jo humein,
aaj woh bunde bahot yaad aati hai,

woh sham ko bike mein mere piche baithna,
aaj woh bekarar shame bahot yaad aati hai,

woh tumhara ruth jana bin kuchh kahe,
aaj woh ruthi surat tumhari bahot yaad aati hai,

woh hathon mein hath dal din bhar rehna,
aaj woh chhuan tumhari bahot yaad aati hai,

woh adhero par mere tumhare adharon ka thaherna,
aaj woh paheli preet ki paheli kiss bahot yaad aati hai,

woh bahon mein meri sama kar tumhara kho jana,
aaj woh bahon ko tumhari bahot yaad aati hai,

woh tumahra aankhon mein ankhe dal dekhana,
aaj woh nazaron ko tumhari nazar bahot yaad aati hai,

woh kuchh na keh kar bhi bahot kuch sun lena hamara,
aaj woh sannatte ki buland awaz bahot yaad aati hai,

aur kya kahun jaanu

tum aur tumhari yaadein jeevan hai mera,
aaj har lamha sath guzara bahot yaad aa raha hai!

mano kal ki hi baat ho

tere anchal se nikalata tha suraj,
teri keshu-o-mein dhalati thi raat,
main bhool jaata tha duniya ko,
yeh abhi kal ki hi to hai baat!

tere hothon ko chhute lubb mere,
teri narm bahon ke the ghere,
kuchh din hi rahe hum sath magar,
kitane door the tannhai ke andhere!

kuch aur din hai intazar baki,
teri yaad mein mera tardapana hai baki,
hum intezaar karenge milan ka tere,
abhi to hum-mein zindagi jina hai baki!

meri gazlon mein tera naam har baar aata hai

chaand ko dekhoon to tera chehra nazar aata hai,
ruth ke jaane wale tu mujhe aaj bhi yaad aata hai.

maana ki teri berukhi ne mujhe ab gair hi kar daala,
yahi bahot ki meri gazlon mein tera naam to aata hai.

jab dunaiya ke sab be-bason par kuch likhaa kisi ne,
tera naam un kitabon mein bhi mere baad hi aata hai.

tere ishq mein ruswa ho kar mehfil tak chhord diya,
kya karun jo aaj bhi mujhe tujh pe hi pyaar aata hai.

meri fariyaad bhi shaayed us rab tak na pahuch saka,
ashkon ka janaza baadlon se ab din-raat aata hai..

aye kaash ki woh beete huye din phirse laut aaye

aye kaash ki woh beete huye din phirse laut aaye,
phirse main tujhe aur tu mujhe chaahe.

jo kuch khoya tha humne iss zindagi se,
usse hum ek baar phirse paaye,

mohabbat ho jaye zindagi humari,
aisi zindagi hum phirse basaaye.

apne sabhi ghumon ko chord kar peeche,
ek nayi khushnuma hassti banaaye.

darna chord kar iss duniya se hum,
binddaas iss zindagi ko jee jaayein.

pyar karein ek duje ko itna,
ki poori duniya humse jal jaaye.

kho jaayein iss kadar ek duje mein,
ki duniya ko khabar bhi na ho paye.

aye kaash ki woh beete huye din phirse laut aaye,
phirse main tujhe aur tu mujhe chaahe. 

such a peculier thing is love

love is so peculier a thing
that I haven’t seen you
but from head to toe
I just fell for you.

I know that by your lovers
you have a long queue,
I do nothing about them
I know only that,”I love you.”

what I want is just to see you once,
have some pity on me
and give me the chance.

people have started calling
my love as madness,
but without hearing your voice
my life is a mess.

whenever I listen your voice
it seems if some angel speak
my imagination starts flying and
I feel myself on some peak.

my life can’t go on being shattered
nor further like this
for my life what I need is
your lips giving me a kiss.

sanam nahi woh to pathar zaat hai

ab na tera saath hai, na tu mere paas hai,
dil tardapta hai mera, raat royi saath hai,

aaja sajani lout ke tu, sunle yeh fariyaad hai,
chandni tu aa banaa-de, kitni kaali raat hai,

aa fiza mein gull khila de, mere sanam aa bhi jaa,
aaja aaja ab to aaja, ankhiyon ka yeh barsaat hai,

tere bin yeh chandni bhi, ab andheri raat hai,
aaja sajani, mere sanam keh rahi har saans hai,

aake mujh ko tu hansa de, hansi to tere sath hai,


“raaj“ tu kyun fariyaad hai karta baar baar, 

woh teri sanam nahi, woh to pathar zaat hai.

wapas chale aao

itna kareeb aao, meri rooh,
meri saanson mein sama jaao,

chhu kar mere labon ko,
mera wajood tum ban jaao.

khushbu phir koi duniya ki,
khushbu na rahe mere sanam,

meri sanson mein, meri rooh mein,
tum kuch aise sama jaao.

naam apna, mera in hawaon pe,
aise likh doon, aaj mere sanam,

apne dil ki tardap, mere dil ki,
pyaas, aaj aake bujha jaao.

sanam tum lout kar ek baar,
paas wapas chale aao.

meri tum rooh mein sama kar,
kabhi, wapas nahi jaao.

dil ko humaare unhone waapas bhej diya

gailyon se meri woh aise sarkte rahe,
woh chup rahe, aanshu mere tapakte rahe,

dil ko humaare unhone waapas bhej diya,
woh jalaate rahe, haath mere tardapte rahe,

sadiyon puraane rishtey na yaad rahe unhein,
woh chalte rahe, khadam mere behekte rahe,

aith-baar unpar kiya magar mera kya kasoor,
wafa ko kuch na mila, bewafa chamakte rahe,

zindagi ko guzaare hai hum gumnaami mein,
hum sulagte rahe, aur woh mehekte rahe.

ek sacchi mohabbat ki dastaan

ek ladki ki dard bhari sacchi mohabbat ki dastaan.....

lo ek aur dard-e-dastan le kar aaya hoon main,
aap sab ko kisi ka dard-e-dil ba-ta-ta hoon main,

kaise kismat har bar ashiq ke khilaf ho jati hai,
kaise mohabbat mein ek dusre se milne ke liye rooh tardap jaati hai.

ek ladki thi duniya ke shor gul se pare khud mein khoyi huyi,
be matalab hi uski aankh lagti thi royi huyi,

waise to usse kisi baat ki koi kami nahi thi,
magar na jane kyo uske masoom chehre mein nami nhi thi,

jab se hosh sambhali woh khoyi si rahti thi,
magar apna yeh dard kisi se na kahti thi,

magar ek din uski mulakat kisi aise se huyi,
ke mano uske baad uski zindagi badal gayi,

unke hi mohalle mein ek naya pariwar rahne aaya tha,
mano ke kitne salo baad ladki se koi kuch kahne aaya tha,

us parivar mein ek ladka tha unka jo issi ki tarah udas tha,
subah sham apni dairy mein likhta rahta apne jazbaat tha,

ek din achanak dono ki ankhein mil gayi,
aisa laga ke mano unki zindagi mein khushi ki kali khil gayi,

dono ko lag raha tha jaise woh barso se ek dusre ko jante hain,

abhi mile nahi magar ek dusre ko apna khuda woh mante hain,

nazro ki mulakat se baat milne milane tak bardh gayi,
dono ke dil mein surat, ek dusre ki ghar thi kar gayi,

phir aise hi silsila mulakato ka hota raha,
na milne pe dono ka dil ek dusre ke liye rota raha,

waqt ek aisa aaya ke dono ka jeena, ek dusre ke bina mohal ho gya,
mohabbat mein jo haal sabka hota hai, usse bhi bura inka hal ho gya,

magar kismat ko inn dono ka milna manzoor nahi tha,
bakiyon ki tarah inka bhi marna duniya ke liye sahi tha.

baat ladki ke baap ko pata chali to woh gusse se laal hogya,
ladka unki jaat ka nahi yeh uska aur bhi bura haal hogya,

ladki ko samjhaya magar woh samjhi hi nahi,
ladke ke bina rahegi ek pal.. iss baat ko mani hi nahi,

uske baap ne bhi ladke ko dhokhe se bula kar,
samandar mein fikwa diya, uske tukde karwa kar,

ladki ko jab yeh maloom hua to ladki behal hogyi,
uski ankhein mano to gusse se laal hogyi,

dhire dhire gussa dimag pe aisa chhaya,
ke ladki ko ladke ke iss sadme ne pagal banaya,

ghar se nikal kar smandar kinare woh jaa baithi,
aayega murd ke mera sanam bas yahi thi rat-ti,

ladke ke ghum ne usko pagal bana diya,
sab ne ki koshish magar koi na usse samjha saka,

ladki aaj bhi ladke ki awaazein sunti hai,
woh aayega laut kar yeh sapne aaj bhi bunti hai,

akeli mayus si khud se woh baatein karti rahti hai,
zinda hai magar pal pal woh marti rahti hai,

kya mohabbat ka yeh hal hamesha hota rahega?
kya har pyar karne wala aise hi hamesa rota rahega?

hum dil ko yehi samjhaate hain

tufaan hazaaroan aate hain,
jo roand ke dil ko jaatae hain,

kiya zikr kabhi unka bhi hai,
jo lehron mein beh jaatae hain.

khismat mein yehi kuch hona tha,
hum dil ko yehi samjhaate hain.

hum unka bharosa kaise karein,
jo raahon mein bikk jaate hain.

chahatein hain hawaon mein sabki,
mehfil mein rang jagmagate hain.

mehman ki khaatir khoob karo,
kab phir woh dubaara aate hain.

jo auroan ko tardpaate hain,
woh apne muh ki khaate hain.

jo aate hain shaitaan ki tarh,
hum logon ko behkaate hain.

woh dekh ke apna hi chehra,
khud aap se hi sharmaate hain.

hum kerke bahaane laakh aye dost,
mann apna hi behlaate hain. 

log badal jaate hain

aayina rahta wohi, log badal jaate hain,
chahate rahti wohi, naam badal jaate hain,

pyaar, mohabbat, ishq, wahi rahta hai,
farq sirf itna hai, halaat badal jaate hain,

sachhi chahat ke liye, aaj tardapti duniya,
jisko mil jaaye, woh kyun na samjh paate hai.

its way due time to forget my past

the long suffering struggle
between the heart and the head,
my long suffering heart
every single tear I have shed.

its way due time
to forget my past,
let go of the hurt
and move on at last.

the past is what it is
and thats where it should stay,
now within my broken heart
waiting to be released one day.

I need to learn
how to well and truly let go,
accept my mistakes
and go with the flow.

it sure is easy
to be writing in word form,
what about real life
is my preaching worth to conform?

all I know is this
and that is nothing at all,
I just have to take it as it comes
get up when I fall.

All Time's Favourite Posts