woh khawaab bikhar kyon nahi jata

benaam sa ye dard,
thehar kyon nahi jata,
jo beet gaya hai,
woh guzar kyon nahi jata,

sab kuch to hai,
kya dhundti rehti hai meri nigaahein,
kya baat hai main,
waqt pe ghar kyon nahi jata,

woh ek hi chehra to nahi sare jahan mein,
jo door hai woh,
dil se utar kyon nahi jata,

main apni hi uljhi huyi,
raho ka tamasha ban gaya,
jate hain jidhar sab,
main udhar kyon nahi jata,

woh naam jo na jane kab se,
na chehra na bandhan hai,
woh khawaab agar hai to,
bikhar kyo nahi jata

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts