maut aane se pehle hi kafan pehna kar chal diye

ghamo ke saagar se baahar nikale bhi na the,
ki wo humein usme aur dubbo kar chal diye,

pyar ki raaho me socha tha saath khushiyo ke deep jalayenge,
par wo itne bewafa nikale ki dil hi jala kar chal diye,

kehte the kabhi humse ki aap meri takdeer bankar aaye ho,
aaj humse muh modkar hamari hi takdeer badal kar chal diye,

saath me reh kar pyar ki basti basayenge ye armaan tha,
basti basaana to door ki baat, wo to duniya ujaad kar chal diye,

dil ke jazbaat jo nikale haal-e-dil bayaan karne ko,
wo usse mehez ek taraana keh kar chal diye,

mera bharam ye tordkar ki wo aayenge ek din,
intezaar umar bhar ka in aankho me saup kar chal diye,

unse hum gila-shikwa karein bhi to kya fayeda,
jab maut aane se pehle hi kafan pehna kar chal diye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts