bas ek sawal hai..

wo bhi ek waqt tha jab,
deewano jaisa mera haalat ho gaya tha,
jab kisi ki mohabbat mein,
main poori tarah se kho gaya tha.

na din ke guzarne ka pata rehta tha,
na raat ki aahat rehti thi,
teri ek jhalak paane ke liye,
din bhar betaab sa main rehta tha.

jaan liya hai ab maine mohabbat ko,
har jafaon se waakif ho gaya,
aisa bhi dard hai jise jeene me,
khushi milti hai ye jaan gaya.

jo pal jiye hain tardap-tardap ke,
teri mohabbat ke liye maine,
iss janam to bhula na sakunga,
gam jitne bhi zindagi ne diye.

bahut koshisoon ke baad bhi,
aaj bhi yaad karta hai dil tumhein,
sambhalta hoon itna isko,
baawra ho jaata hai dekhte hi tumhein,

kya haal bana diya hai tumne mera,
kaisi zindagi ban chuki hai,
jo mil nahi sakta,
pal pal ussi ki tamanna kyon karta hai yeh,

sachi mohabbat pe yakeen kiya tha,
har wafa ko anjaam diya tha,
jo ek sacha hamsafar karta hai,
woh sab tere pyar me kiya tha,
dil sab kuch bhula dene ko yun to taiyaar hai, 

bas ek sawal hai..
kami kahan thi is mohabbat me,
iske jawab ka mujhe intezaar hai,

main maangta hoon iska jawab,
bhagwan se, iss poore jahaan se,
par har koi khamosh rehta hai,
ab sab bhula doon main kaise,

kaise zindagi ke wo pal bhula doon,
jo sirf tumhare naam the,
kitne ashk barson bahaaye the,
sab iss mohabbat ka anjaam the.

kehte hain log bhula ke sab kuch,
hass ke zindagi ka swaagat karo,
kya itna asaan hai kisi ke liye,
apne astitva ko mitaa paana.

jab dil uske liye dhadakta hai to,
kaise kahin aur lag sakta hai,
kaise inn askhon ko chupaaye,
koi kisi se nazar mila sakta hai,

be-rang zindagi hai,
kab tak rangon ki chaadar main odhe rahoon,
bas tumhari kami hai jo sabse bardi hai,
kaise sabko samjhaaun.

mere kuch sawaalon ka jawab de do,
to mukt ho jaaun main bhi isse,
aur jee sakun phir apni zindagi,
nibha sakun poori wafa khud se.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts