kyun sehna pardta hai itna dard judaai mein

jab jab unki yaad aayi judaai mein,
ye aankhein nam ho gayi judaai mein,

unse door reh kar to ye lagta hai,
ki tord doon saare bandhan judaai mein,

aye khuda! ye duniya ka kaisa dastoor hai,
kyun sehna pardta hai itna dard judaai mein,

aasmaan me dekhu to chandni raat bhi,
amavasya ki raat lagti hai judaai mein,

waqt ke haatho iss kadar majboor hain,
ki maut bhi naseeb mein likhi nahi judaai mein,

ungliyaan chalti gayi hum likhte gaye,
jazbaat bhi alfaaz ban gaye judaai mein,

tiki hain nigahein darwaze pe kabse,
ek pal bhi sadiyon sa lagta hain judaai mein,

ab aa bhi jaao ki kahi hume tumhare bina,
jeene ki aadat naa pard jaaye judaai mein.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts