dasti hai tannhai

milker teri yaadon se dasne lagti hai tannhai,
mujh ko rula ker mujh hi pe hassne lagti hai tannhai,

be-haale to sab hain yahan,
gham ke maare or bhi hain,
phir mere hi dil mein kyon basne lagti hai tannhai.

ya rab iss tannhai ko mujhse kyon itna lagaw hai,
bheed mein agar  jaau to bhi bardne lagti hai tannhai,

ban ker grahak main jab bhi khushiyon ke bazaar challa,
khud hi ban ke saudaager bikne lagti hai ye tannhai,

tum ne to dekha hi nahi,
roz kissi dulhan ki terah,
aaa ker shaam se pehle hi sajne lagti hai tannhai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts