jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain

safar zindagi ka guzara hai yun,
jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain,
kabhi mile hain khud se bhi yun,
jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain,

jisse pane ke liye barbaad huye,
khud se bhi huye paraye hum,
ab unse mulakat hogi to bhi aise,
jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain,

naa hakeekat mein koi aasra hai,
naa khawabon ka koi hosla hai,
yeh aankhein bhi milte hain sapno se yun,
jaise ajnaabi ajnaabi se mile hain,

mange kaise hum apni maut,
jab rishta khuda se hi koi nahi,
meri duwa aur asar milte hain yun,
jaise ajnaabi ajnaabi se milte hain..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts