ek pal laga tu wahin mere paas thi

jaise jaise tum har ek kadam bardhaate jaa rahe the,
meri nazron se aur bhi door hote jaa rahe the,
dil to kar raha tha bahut, 
rok loon main tumhein,
wo lammhe kuch jada hi jaldi guzarte ja rahe the,

na jaane phir kabhi mulakaat ho na ho,
kuch aise khayalaat mujhe daraa rahe the,
jitna bhi waqt guzaara hai maine saath tumhare,
reh reh ke sab aankhon me lehraa rahe the,

wo tumhari muskaan,
wo har adaa yaad aa rahi thi,
wo saari yaadein mujhe bahut rula rahi thi,
aankhein to tumhari bhi jaate waqt namm thi,
judaai ka ehsaas jhuki palkein kara rahi thi,
na tum alvida keh sake jaate waqt na main,
zubaan pehli baar ladkhadaa rahi thi,

tumhare saath bitaaye in kuch palon me,
maine to apna ye poora zindagi jee liya tha,
samet ke rakha hai har wo lamha kuch aise,
sabse bardi khushi jaise zindagi ki mili ho,

aaj main har us jagah gaya, jahan jahan hum mile,
khushbu bhare mohabbat ke phool wahan the khile,
hawaaon me wahan ki kuch aisi mehak thi,
ek pal ko laga, tu wahin mere paas thi,
ghuli huyi hai hawaaon me tumhari hi khushboo,
simat jaati hai jisme meri zindagi ki har arzoo,

do pal ko aankhein band kara maine to dekha,
muskurate huye tum mujhe hi dekh rahi ho,
aisa ye jaadu tum kar gayi ho mujh pe,
yahan ki fizaaon me tum ab tak mehak rahi ho,

kaash main tumhein hamesha ke liye apne paas rok sakta,
kaash ye nigaahein har waqt tumhe hi nihaar saktein,
kaash in haathon mein har waqt tumhara hi haath hota,
har lamha mere paas tumhare saath hota,

tumhari hi baahon me basti hai meri ye zindagi,
tumpe to poora yakeen hai, par zindagi pe nahi,
na main tumhare bina kuch hoon, na tum mere bina,
kyon pyaar ko nahi samajhti hain ye majbooriyan,

jo pyaar bhari “yaadein” tum de gaye ho mujhe,
ab inke sahaare hi meri yeh zindagi hai,
tumse har khushi,
tumse ab ye zindagi hai,
bas tumhare liye hi jeeta ab yeh “raaj” hai.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts