jane kyu tu lagti ab bhi paraya nahi hai

bhoola to sakta tha par bhulaya nahi hai,
ye dil kisi aur se lagaya nahi hai,

dooriyan jismo mein hi mumkin hain, dilon mein nahi,
iss khayal ko zehan se mitaya nahi hai,.

jis dil me bas gayi thi teri aankhein,
us dil me kisi aur ka chehara basaya nahi hai,

pata hai mujhe tardap uthti ho tum meri khamoshi se,
isiliye apne dil ko maine rulaya nahi hai,

meri aahat tum tak nahi pahuchti shayad,
iss ehsaas se khud ko sataya nahi hai,

gumaan hota tha mere hasste dil se tere aane ka,
isiliye roothe huye apne dil ko manaya nahi hai,

ajnabiyon sa bartaw karne lage ho humse,
par jane kyu tu lagti ab bhi paraya nahi hai,

aaj bhi ummeed hai tere laut aane ki,
tabhi to kafan khud ka mangaya nahi hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts