main hoon aur meri tannhai hai

phir main hoon aur meri tannhai hai,
yeh kaun hai jisne aaj phir,
teri yaadon ki shamaa jalayi hai,


jab shaam ke saaye bardhne lagte hain,
kuch aajeeb se hum bikherne lagte hain,

kabhi tere hathoon ki sersarahat mere hothon par,
kabhi tere sar ka ehsas mere kandhoon per,

kabhi tumhari behakti taazi sansein,
mil jaati hain meri saansoon mein,
kabhi tumhare badan ki khushboo,
sama jaati hai meri saansoon mein,

yeh kis ehsaas mein kho jata hoon,
yeh kis khayal mein gumm ho jata hoon,

kabhi tumhare khanakte paayel,
goonjti hain mere kanon mein,
kabhi tumhare aanhsuon ki nami,
mehsoos hooti hai mere galon mein,

sharma ker yun kabhi mujhko,
jhuki palkkon se dekhna tera,
aur achanak hath pakad ker,
ghabra ker bahon mein sametna tera,

phir tere badan ki khushboo,
aur sansoon ki garmahat mein,
tere khawaabon mein kho jata hoon,
issi kash-m-kash mein kuch der so jata hoon,

ekayek tere hathoon ke sparsh se uth jata hoon,
aur phir main hoon aur meri tanhayi hai,
yeh kaun hai jisne aaj phir,
teri yaadon ki shamaa jalayi hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts