sochta hoon..
kya kisi ki zindagi mein kabhi aisa waqt aaya hoga?
kya kisi ne khud hi apne aanshuon ko poch khud ko hasaya hoga?
dekho aaj meri zindagi mein kuch aisa hi waqt aaya hai,
dekho to sahi takdeer ne mera kaisa mazak urdaya hai,
woh mera pyar, meri jaan jo meri apni thi,
aaj ussi ki sakhiyo ne usse,
kisi aur ki dulhan banne ke liye sajaya hai.
meri ek haa se jiski naa bhi haa hua karti thi,
aaj usne meri 100-100 haa ko bhi thukraya hai,
dekho kaisa chamak raha hai uska woh laal joda,
jaise mere dil ka khoon usne us par chadhaya hai,
hum to wafa kar ke bhi apne dil ko sambhal na paye,
pata nahi kaise uss bewafa ne apne us nadan dil ko sambhala hai.
dekho kaise hans rahi hai woh khud ko dekh aaine mein,
jaise mera dil tord kar usne koi bada teer chalaya hai,
aise saja rahi hai ek ek gehne ko apne aap par,
jaise meri arthi par usne phulon ko sajaya hai.
dekho kaisi saji hai uske hatho ki mehndi,
uss mehndi ke piche us bewafa ne mere naam kahi chupaya hai.
puch rahi hai apni sakhiyo se ki main kaisi dikhti hoon,
sakhiyo ne kaha jaise aaj to chand zami par utar aaya hai.
par bhool gayi woh bewafa dekho iss raaj ko,
ki uss chand ko itna hasin chand kisne banaya hai.
dekho ab rone lagi woh apni sakhiyo ki baahon mein,
ki ab aap sabko humein chord ne ka waqt aaya hai,
par usne ek pal yeh bhi nahi socha...
ki us raaj ka kya hoga, jisne us par jee jaan lutaya hai.
dekho aise jaa rahi hai woh ser ko jhukaye shadi ke liye,
jaise kisi ne usse rangeen daawaat ke liye bulaya hai.
pucha gaya uss se jab ki manjur hai tumhein yeh rishta
to ek baar hi sahi, uski palko par aanshuon ka sailaab aaya hai.
sochne lage sab ki kya hua dulhan ko iss hasin mauke par,
par main janta hoon ab aakhiri pallon mein usse mera pyar yaad aaya hai.
rote - rote uski aankho se aanshu jab uske hatho par girne lage,
tab usse shayad, un aanshuon ko baar baar pochne wala yaad aaya hai.
tab hi ehsas ho gaya usse shayad ki us mehfil mein hum bhi hain,
mujhe mehsus kar usse meri saari wafaon ka silaa yaad aaya hai.
jab laya gaya usse shadi ke mandap par, rote - rote uski saanse ab thamne lagi thi,
log kehne lage aaj yeh hasin mouke par kudrat ka kaisa kehar aaya hai,
uske maa-baap ne usse aakar pucha ki kya hua tujhe aye beti,
par woh kya jane in aanshuon ke piche usne apni wafaon ko chupaya hai,
reh na paya mera dil meri jaan- aye - wafa ke aanshuo ko dekh,
maine socha shayad maine hi yaha aakar mere pyar ko rulaya hai,
galat hai meri soch, galat hai mera uthya har kadam,
kyuki.. ab woh meri nahi, woh to kisi aur ka humsaaya hai,
uth kar chalne laga jab main uss mehfil-aye-shaadi se,
tab mujhe laga jaise kisi ne piche se mera naam pukara hai,
murd kar dekha jab maine ki kaun hai woh shaqs,
to pata chala ki meri hi jaan ne rote huye mera naam pukara hai,
ruk si gayi har dhadkan, waqt ka har ek pal tham sa gaya,
koi samajh hi nahi paya ki iss waqt mein kaisa badlaaw aaya hai.
mehfil- aye- shaadi ka har ek aadmi mujhe dekhne laga,
ki kaun hai yeh jisne iss khubsurat mouke ko itna badsurat banaya hai.
abhi tak jin aanshuon ko maine palko ki kaid mein chupa rakha tha,
dekho woh behne lage ab, kyuki meri jaan roti huyi aankho se mujhe dekh musukrayi hai,
mehfil -aye- shaadi mein baitha hua har ek shaks mehfil se uth gaya,
jab dekha ki mera bichda hua mehbub bhagte huye meri aur aaya hai,
lipat gayi meri sanam mere baahon mein aakar iss kadar,
jaise usne khud ki jaan ko meri jaan mein samaya hai.
rote rote woh kehne lagi aye mere jaan -aye- wafa,
aye mere raaj kumar...
dunia ki riwaazo ne muje rok rakha tha,
par lo aaj maine saari duniya ko tumhare khaatir thukyara hai.
behne lage meri aankho se aanshu iss kadar jaise sailaab aaya ho,
sochne laga aye kismat tu ne bhi kitna ajeeb khel dikhaya hai.
mahfil -aye- shadi mein hone lagi hazaro baatein,
ki dekho iss pagal ladki ne ek lande ashiq ke liye itna accha rishta thukraya hai,
iss shaadi ko tord usne, apni maa baap ka dil bahut dukhaya hai,
sunkar in lafzo ko meri jaan ne bas itna kaha...
maaf kerna mummy-papa... aye dost-rishtedaar mujhe maaf kerna,
ek baar mere pyaar... mere raaj ke baare bhi to socho jara,
jisse maine na jane kitne khoon ke aanshu rulaya hai.
main nahi janti kya shadi, kya rishta, kya gunah maine kiya,
bas main janu to sirf itna janu ki maine to khuda jaisi sacchi,
apni mohabbat ka farz aaj nibhaya hai...
tabhi kaano mein mere kisi ki aawaz di,
maine dekha yeh sab mera sirf ek sapna tha,
ho chuki thi mere mehbub ki shadi, rah gaya main tannha tha.