koi tum saa hai ki tum ho

jiss me bhi dekhoon nazar aati ho ki tum ho,
aye jaan-e-jahaan ye koi tum saa hai ki tum ho...

ye khwaab hai, khusbu hai, ki jhonka hai, ki pal hai,
ye dhund hai, badal hai, ki saya hai, ki tum ho...

iss duniya ki bheed me kayi rang hai bikhare huye,
main hoon ke koi aur hai, duniya hai ki tum ho...

dekho ye kisi aur ki aankhein hai ki meri,
dekhoon ye kisi aur ka chehra hai ki tum ho...

ye ummr gar aise hi kat jaaye to ye jaanuga,
har saans me mujh ko ye lagta hai ke tum ho...

har saksh me dhundu aksha iss dil-aye-zindagi ka,
ab kaun hai.. shireen hai ki laila hai ki tum ho...

ek dard ka peeghala hua sahara hai ki main hoon,
ek mauj me aaya hua dariya hai ke tum ho...

wo waqt bhi aa gaya hai jab dil mera yeh soche,
iss shehar me tannha koi hum sa hai ki tum ho...

mar ker bhi mar na sake hum kayi saalo se tere intezaar me,
ye rashm zindagi ki abhi zinda hai ki tum ho...

aye jaan-e-jaan itni bhi takalluf kya thi mujhse,
ye humara gum hai, dard-aye-tanhaai hai ki tum ho....!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts