main usse itna door chala jaau

dua hai ki woh ab khawbon mein na mile,
aur meri aankhon mein koi aanshu na mile,

woh mere deedar ke liye behad tardpe,
aur usse mera hi saya na mile,

jo galat fehmi hum dono mein hai,
dhoondne se bhi usko koi uska sira na mile,

meri yaadon ki uljhan mein itna ulajh jaye,
ke yaadon se bhaagne ka rasta na mile,

meri baaton ke samandar mein itna dubbe,
ke bhool ke bhi us ko koi kinara na mile,

jiss din milna ussi din hi bichardna,
ab humein milane wala koi din na mile,

band aankhein jab bhi kare sone ke liye,
neendon ke desh ka koi raasta na mile,

main door uss-se itna door chala jaau,
ke mera usse koi bhi nishan na mile,

mere dil ko be-dardi se tordne wale,
ab tujh ko koi mujh sa na mile,

chahton ka mausam to do din mein guzar gaya,
mujhsa chahne wala ab usse koi aur na mile,

meri aankhon se khawab cheen-ne wale,
dua mein mangne kabhi tujhe mera pyar na mile.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts