kabhi yeh ittefaak bhi hota

kabhi yeh ittefaak bhi hota,
main jis raah se guzarta,
woh bhi ussi raah se guzarte,

aur jis ghar unhein hai jaana,
uss ghar ka pata woh aake mujhse puchate,
aur jis patah pe unhein hai jaana,
woh mere hi ghar ka patah hota...!

kabhi yeh ittefaak bhi hota,
meri woh kitaab jisme maine,
intezaar mein unke likh rakhi hain nagmein,
pannay uss kitaab ke mere hath se choot jaate,

choot kar woh pannay hawa mein lagte urdne,
main un pannon ko pakardne unke pichhe daurd jaata,
unhein pakardte sammetate uss jagaah pe pahunch jaata,
jahaan woh mujhko khadi huyi milti,
kabhi yeh ittefaak bhi hota.....!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts