kuch yun til-til kar apne ishq ko marte dekha

kisi ke labon ko uske badan pe firte dekha,
kuch yun til-til kar apne ishq ko marte dekha,

kal tak jise hum apne palkon pe bithate the,
usse aaj khud ki hi nazaron se girte dekha.

jinhone wada kiya tha humare sang jeene ka kabhi,
unka kisi aur ke sung pranay-kalah chidte dekha.

main to samajh hi na saka ki kya hua hai sama,
jo aaj maine khud ko khud hi se bhirdte dekha.

jo kabhi bhi kisi se dara nahi karte the,
aaj un aashiqon ko kyun aashiqi se hi darte dekha.

jinhone humein hanste hue dekha tha kabhi,
unko bhi aaj iss raaj se chirdhte dekha. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts