har pal yeh dard ke saaye meri taraf aate hain

har pal yeh dard ke saaye meri taraf aate hain,
toote hua dil ko aur rulate hain, 

dhuan sa mere hotho se nikaltha hai,
aah keh-keh kar mera dil tardapta hai.

har pal yeh dard ke saye meri taraf aate hain,
ghamon ki dhundh ankho se nikalti hain. 

har din, har raat angaron par chalte hain,
zakhm seene ke nasoor ban jaate hain.

paglo ki tareh hum rehne lage hain,
har pal yeh dard k saye meri taraf aate hain, 

zindagi ko zinda laash ki tareh,
apne kandhon par laade huye, 
har pal maut ka intezar karte hain.

garm rait par jeeyo machhli se tadafte hain,
har pal yeh dard ke jazbaton ka kola 
hal din-raat dard deta hai.

ander hi ander anshuon ka dariya behta hai,
aankhein nam hai, dil vyakul hai magar, phir bhi

har pal yeh dard ke saaye meri taraf aate hain,
har pal yeh dard ke saaye meri taraf aate hain. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts